Sachin: Namastey guruji. mein aapka abhari hun ki apne apna samay nikal kar meri madat ki. guriji mein yhe jaana cahata hun ki scientists kehte hain ki amm insan apna mind puri tarah se use nahi kar pata or 1 ya 2% hi use karta hai aur is cheez ka matlab kya hai. agar koi 50% use sake to kya whe maths mein acha ho jayega.
Swami Ram Swarup: Namaskar, Abhar prakat karke mujhe rinni na banayein. Kyunki yeh
mera kartavya hai, aapko mera ashirwad-sukhi rahein. Scientist theek hee kehte hain. Bhaav yeh hai ki dimagi karya jaise padna, likhna, saath mein adhyatmikwad mein ruchi leikar vedaadhyayen evam Yogabhyas aadi karna tatha nitya pratah vyayam aadi karna, alasya tyagkar kadi mehnut karna, yeh sub dimaag ko pooree tarah viksit karne ke karya hain. Jub hum yeh karya nahin karte aur Prakriti ke Rajo, Tamo aur Sato gunn ke prabhav mein aram talab (alasyayukt) hotey hain tub
naturally hamara dimaag 2-3% hee kaam karega, aisa dimaag viksit nahin hota.

Suman: Namaste swamijee, mere pita jee ne janeau nahin dharan kiya tha yahan tak ki mere dada jee ne bhi nahin dharan kiya, parantu main vidhivat upanayan sanskaar karte hue, janaeu dharan karna chahta hoon, is ke saath hi maine 17 saal ki umar main guru mantra ki deeksha bhi
li hai, mai janaeu is liye dharaan karna chahta hoon taki main yagna kar sako, toh kripya aapn muje uchit margdarshaan de
Swami Ram Swarup: Namasteji. Aapke vichar achhey hain. Aap kisi bhi local Arya
Samaj mandir mein jaakar ved mantron se Yajyen ka ayojan karke janeyu dharann karein.

Ritesh: Prnaam Swamiji For the response of my question of ” I live outside India, and searched little bit to find local Aachaya who can teach Ashtaag Yog but did not find anyone around who is learned of veds? What could I do, can I learn it from you with distance via phone call or video conference?” You responded with ” However, video CD can be prepared here in parts, explaining the Ashtang Yog and preach as to how to do it.” This e-mail is to follow up for this Video CD. Would you please keep me posted as this Video CD becomes available. Also like Video of your
bhajan on the www.vedmandir.com, it would be very nice to have video of your pravachn ( lectures on veds), video of Ashtaang Yog on the website. This way people like me can access them directly from website, which would avoid shipping. Just as thought. Thanks a lot for your time to guide us.
Swami Ram Swarup: My blessings to you. I shall try to think and do the task suggested by you in near future, please.