Akash: Pranam Guruji. Guruji I am really sorry as I am writing a long mail and expecting a little detailed answer.
Please Guruji do reply as to what should I do as I have very very imp. exam in 2 months.Guruji aaj aam insan kush hai. Student mehent karke pad rehe hain, log paise kama rahe hain etc. lekin Guruji main to Havan bhi karta hoon , Dhayan main bhi baithne ki koshish karta hoon (jaise aapne bataya hai), lekin phir bhi gurji mera dhayan balki kuch zada hi bhatakne laga hai. Even ki Guruji ‘bhramcharaya’ pe book aur last mail se main aur bhi zada pareshan sa ho gaya, kyunki
1.jab tak main hard astang yog nahi karta main kush nahi ho sakta to guruji ab main ek student life
main apni studies chod kar kewal astang yog tonahi kar sakta na, who bhi paap ho jayega
2. The book has mentioned that one should not be even alone in the room with his mother also, Guruji
pure aadar ke sath ab jab bhi aisa hota hai to main pareshan ho jata hoon ki shayad main paap kar raha hoon. Jab bhi kapde khareed ne jata hoon ya kuch zwadist(veg. only) khane lagta hoon to lagta
hai ki main koi paap kar raha hoon. Mere andar ka aanand wakai main gayab ho raha hai haijo aaj se 1-2 saal phele tha.
3. jab bhi padte samey mera dhayan bhatakta hai aur main usse wapis padai main lagana chahta hoon,
lekin jab main aise koshish karta hoon to mera maan fir se doubts khade kar deta hai ki maine
shayad pura astang yog nahi kiya hai aur isliye main apne dhayan pe control nahi kar sakta; jabki
ek aam student movie bhi deta hai, buraiyoon main bhi rehta hai, gali gloch bhi karta hai
aur padai ke samay aanand se pad bhi leta hai…yadi uska dhayan bhatkta hai to wo bade
aaram se wapis padai main lag jata hai.

Main bhi jab aisa tha main bhi pad leta tha lekin ab muje apne upar hi doubts aane lag gaye hain.

Guruji agle 2-3 months main mera bhaoot zaroori exam hai aur aap kudh dekhiye ki main kaise uljanoon main fassa hua hoon.

4. Ab main dharam ke bare main kuch zada hi sooch ta rehta hoon jabki muje apni padaae pe dhayan dena chaiye. Aise to main apni padae main peeche reh jaoon ga.Main padaee main apna interest bhi ise karan wash kho raha hoon.

5. Guruji in your previous mail(dated Aug-25) you advised me to do naam jap and havan in the morning and devote all the other time to studies. But Guruji what should I do of all these doubts and
useless confusions that actually are making me lazy and weak I know they are useless but need your
guidance for winning and controlling my self.

Please Guruji thoda sa samey nikal kar muje batayee ki main kya karoon/ ya main kya galti kar raha hoon.((I know yeah mere hi paap hain lekin vedon main hi to likha hai ki shishya apne doubts and questions guru ke samne kul ke rakhe))

Kya main aapne maan main utpan ho rahi in confusions par dhayan naa doon aur padai karoon Guruji I had been a topper in my studies lekin guruji ab main bahut pichad gaya hoon kyunki mera dhayan in sab baton main jata rehta hai. Guruji I am a student and I really want to study but mera maan hi nahi lag raha aajkal.

Main wakee main sahi marg par chalna chahata hoon lekin apne andar utpan ho rahe in sansheeyoon(doubts, confusions) ka main kya karoon jo muje apne aap par hi control nahi karne de rahe hain

Aapke Charnoon main shat shat pranam
Swami Ram Swarup: Mera aapko ashirwad. Insaan woh khush hota hai jisne pichhle janam mein vedic shubh karma kiye hon aur is janam mein bhi woh buraiyaan aur paap karma se door rehkar shubh karma karta hai parantu aam aadmi toh dukhi hee dikhayee deta hai kyunki Ishwar bhakti ke bina aur vedic shubh karma kiye bina sukh prapt nahin hota. Jab insaan havan ya dhyan, yoga jaise shubh karma karta hai toh ussey phal kee ichha nahi karnee chahiye, kyunki Ishwar kee pooja ka phal sukh ke roop mein Ishwar kabhi na kabhi deta hee hai. Abhi toh insaan apne pichhley janam mein kiye paap karmon ka bhog dukh ke roop mein bhogta hai. Ved yeh kehta hai ki jeev dukh aur sukh mein samaan bhaav rakhe isliye aap apnee sadhna kiye jao. Doosron se apni tulna na karo kyunki sabhi apna-apna karam dukh aur sukh ke roop mein bhogne yahaan aaye hain.

1.) Aapko Hard Ashtang Yog karne kee zaroorat nahi hai. Abhyaas ko dheere-dheere hee badhaya jaata hai. Isliye Brahmacharya par dhyan dete hue havan, asan, prannayaam aur dhyan in sab ka thoda-thoda abhyaas karte rahein aur saath-saath hard studies karein.

2.)Aisa kuchh nahi hai ki aap paap kar rahe hain aur aap pareshaan bhi na hon kyunki maa to maa hee hoti hai. Unki toh seva ka karz utaarna hee mushkil hai. Kapde khareedna aur swadishts, shakahaari bhojan karna paap nahi hai. Sadhna karte raho toh aanand toh aayega hee.

3.) Aapka mann isliye bhatakta hai ki aap mann ko vash mein karne ke liye Samarth nahi ho. Kamzor ho aap aur hum sab jeevatma hain. Ishwar ne hamein shubh karma karne ke liye mann aadi indriyan dee hain. Agar insaan sadhna karte hue apne apne mann ko vash mein karne ka abhyaas nahi karta toh woh khud paapi hai, buzdil hai, lazy hai, maansik aur shareerik drishti se kamzor hai. Isliye aap in kamiyon ko khud door karein, tumhari in kamzoriyon ko koi aur door nahi karega, as God helps those who help themselves.

3.) Aap doosron kee taraf dekhna band karein, apne ko sudharein kyunki aapke paas padai likhai kee saath-saath bhakti bhi hai. Jiske paas bhakti nahi hai, woh padh-likh kar bhi chahe kitna bhi oonche pad par chala jaye woh uske pichhley janam ka punya hai. Ek din weh punya ke bhog ko bhog kar saare punya khatam kar dega toh phir dukhon ka pahad tutna shuru ho jaata hai. Tum bhi jab aise the toh woh tumhara punya tha jo bhog kar khatam ho gaya. Ab bhakti ke saath padai shuru rakho sab theek ho jayega. Aap apne zaroori exams ke liye hard studies jaari rakho. Man par kaboo rakhein, bhatakne na dein. Todi see der ke liye bhi padai se alag na hon, tabhi Ishwar aapki madad karega. Yeh uljhanein tumhari khud kee banai huee hain aur inhein khud hee purusharth, hard-working se khatam kar do.

4.) Dharma ke bare mein sochna nahi balki shubh karma karne padte hain. Aap ka dharma/kartavya apnee padai par rozana poora-poora dhyan dena, nitya padna, likhna avashyak hai. Vidyarthi ka arth hee yahi hai ki jiska paryojan (motto) vidya prapt karna ho. Isliye, padai mein interest na lena vidyarthi ke liye paap hai, jiskee sazaa woh pooree zindagi dukhi hokar bhogta hai. Isliye padhai mein hee poora-poora dhyan dein.

5.) Answer as above. I mean to say that you are empowered to destroy all doubts and useless confusions yourself.

I have explained above, please. Pay your attention on them. Yes, aapke mann mein uthee confusion aadi ko question ke roop mein yahaan mere paas bhejkar unhe clear kerein, par khud uspar dhyaan dekar apna time waste na karein. So, again do hard studies and become again a topper. Mann ko vash mein karna pratyek insaan ka dharma hai. Aap bhi usey vash mein karo aur kisi bhi prakaar kee burai ya laziness aadi par jaane se roko. Mann ka gulaam na banein. Mera tumhe ashirwad. Aagey badho.