Ashish: Swamiji Namaste, Sharirik sukh-suvidha aur aatmik anand mein kya farak hai? Kya sukh-suvidha he aatmik anand nahi hai? Eg : Jab mein AC Coach mei travel karta hoon to mujhe sharirik comfort milta hai aur usse mujhe anand bhi aata hai, lekin agar ticket na mile aur mujhe general class mei jana pade to sharirik duwedha ya kast hota hai jisse mujhe dukh hota hai ki
kaash mei AC coach mei hota. Phir Sharirik sukh suvidha aur aatmik anand ko ved mei alag-alag kyo kaha gaya hai?
Swami Ram Swarup: Namasteji. Shareerik sukh suvidha aur anand ek samay main nasht/khatam ho jaata hai. Jabki aatmik sukh sadaa banaa rehta hai. Shareerik sukh vikaar hai jabki aatmik sukh ek shudh, shubh nirakar Brahma kee bhakti hai.

Shareerik sukh mrityu kee taraf jaata hai jabki aatmik sukh amrata kee taraf le jaata hai. Sukh suvidha aatmik anand kabhi nahin ho saktee kyunki aatmik anand milta hee tab hai jab in bhautik sukh suvidha kee aur se sadhak mukh mod leita hai isliye sukh-suvidha bhautik kshann bhangur naashvaan anand hai jabki aatmik sukh adhyatmik anand hai. Aapko anand aata hai, kabhi is par vichaar karein ki A.C coach mein shareer ke zariye aapko anand aa raha hai. Shareer ko nahin aa raha kyunki kisi bhi dead body ko anand nahin aata. To weh kaunsee cheez hai jo shareer se nikal jaatee hai aur shareer se smell aadi aanee shuru ho jaatee hai aur shareer kee indriyan kaam karnee band kar deitee hain. Isse yahi siddh hota hai ki shareer alag hai aur aap alag hain.

Atharvaveda mein isee vishaye par prashan kiya hai ki Ay! Manushya, Tu bhojan khata hai ya bhojan nein tujhe kha liya ityadi. Yeh vishaye bahut gambhir, gahan aur lamba hai. Parantu main short mein aapko keh raha hoon ki A.C coach mein jo aap sukh le rahe hain to aap sukh leine wali jeevatma hain jo shareer kee indriyon dwara A.C ka sukh ley rahee hai. Jeevatma alag hai, shareer, indriya alag hai.

Jeevatma swayam, gyanvaan, chetan, ajanma, avinashi hai. Jeevatma sukhswaroop hai, usey bhautik sukh chahiye hee nahin lekin inhee bhautik sukh ke or shareer kee indriyon ke madhyam se weh aakarshit ho jaati hai aur is galti se weh apna khud ka aatmik swarup bhool jaati hai. Phir toh jeevatma sadaa bhautik sukh kee hee ichhha kartee hai aur is janam mein bhi dukhi rehtee hai aur aatmik anand ke bina aaney wale janmon mein bhi dukhi rahtee hai. Isliye vedon mein kaha bhautik
sukh dharma ke anusaar shareer ko do arthat shareer ko banaye rakhne ke liye ise anna, dhoodh, ghee, makhan, dukaan, paise sab do lekin saath hee saath Jeevatma vedon ke gyata Guru se Brahma vidya ko prapt karke apne aatmik sukh swarup ko bhi jaane. Tub hee manushya shareer prapt karne ka aim safal hota hai.

Kai Tapasvi Rishi-Muni jungle mein jaakar, gufa mein rehkar jungle ke kandmool khakar, sardi-garmi, dhoop ko khushi-khushi sehkar tapasya karte hain aur anand mein rehte hain. To manushya ka shareer aatmik sukh prapt karne ke liye hai. Thode se time ke liye kewal naashvaan bhautik sukh jo shareer aur indriyon ke zariye milta hai weh dukh deine wala aur naashvaan hai. Isliye Yajurveda mein kaha hai ki manushya bhautik aur adhyatmik dono matters mein progress karke adhyatmik sukh paaye.

Truth Seeker: Kya Swabhiman samadhi mein baadhak hai ? Abhiman karna mental stability ke avashyak hai to dayanand ji ne satyarth prakash mein upasana ke liye niraabhimani hone ke liye kyun kaha hai?
Swami Ram Swarup: Han ji! Badhak hai. Abhimaan karna mental stability ke liye avashyak nahin hai. Main kuchh abhimaaniyon ke naam likhta hoon- Ravanna, Kansa, Duryodhan, General Dyer, Aurangazeb, Hitler itiyaadi.

M: Pranaam Guruji, Is it possible to have access to the books written by you in electronic way? That is, are the e-books available online? I will send the payment before getting access. Thanks
Swami Ram Swarup: My blessings to you. Sorry, the books cannot be obtained in
electronic way. However, if you live in Delhi, Bangalore or Bombay, the address can be given to you, where you can get the books easily.