आर्य विनोद: पूज्य महाराज जी… कोटिश: चरण वंदन, महाराज जी, जो भाई -बहन आपकी आज्ञा लेकर हवन कर रहे है और साथ साथ वेदो को सुनते है क्या वे सभी भी संगत(शिष्य -शिष्या) की श्रेणी मे ही आते है भले ही उन्होंने आपसे दीक्षा ना ली हो❓

Swami Ram Swarup: Beta shishya shishyaa ki shrenni mein to kewal wahi aate hain jo Guru se diksha le lete hain. Prantu jo guru ki bhakti karte hain chahe diksha na li ho aur pravachan sunte hon aur agnihotra karte hon to unke upar Ishwar aur Guru ki kripa rahti hai aur punya prapt hota hai,sukh prapt hota hai, parantu moksh to guru kripa par hi prapt hota hai isliye unko shubh karam karte rahne do jab unka man karega diksha le lenge. Sab parivar ko ashirwad.

Anil: Swamiji ko mera sadar pranam: Swamiji aapne kai bar bataya hai ki guru kaisa hona chahiye. Jaise ki use Ved ka gyan hona chahiye aur v bahot se gun.

Par jab hume khud hi vedo ka gyan nai hai to hum samanya insan ye kaise jane ki jis guru ki mahima sab ga rahe hai usme sach me ek ache guru k sare gun hai?

Is prashna k liye chama swamiji..

Swami Ram Swarup: Beta, sardi lag rahi ho aadmi garam kapde na pahne, agni ke pass na jaye to sardi samapt nahi hogi. Isi tarah jab kisi ke hriday mein guru dharan karne ki ichha aati hai to woh pahle us guru ko dharan kare jis ki samaj mein charcha hai to hriday mein  swayam hi gyan ho jayega ki sacha guru kaun hai aur jhootha kaun hai. Yadi pata chala ki yeh jhootha guru hai to us jigyasu ki atma mein awaz uthti hai aur Weh us guru ka tyag karke sache guru ki khoj mein nikal padta hai aur bhatakte bhatakte ek din usey Ishwar kripa prapt ho jati hai aur usey sacha guru mil jata hai. Yahi ghatna Swami Dayanand mein, Narad, mujh mein ghati hai parantu jo jhuthe guru ki baaton mein aakar us se chipak jata hai,sacha guru nahi khojta to uska jeevan barbad ho jata hai. Isliye alas tyagkar sache guru ki talash mein nikal jana chahiye agar lagan sachi hai to Ishwar kripa se usey sacha guru mil jata hai. Pahli pehchan yeh hoti hai ki woh vedon ka gyata hai ya nahi aur ved vidya uske acharan mein hai ki nahi. Jaise vedon mein kaha ashtang yog sadhana karo weh Guru ashtang yogi hai ya nahi ityadi. Aashirvad.