Neerasi: Koin si sthiti praja tantr ki jad mani jati hai?
Swami Ram Swarup: Manusmriti shloka 2/6, Bhagwad Geeta shloka 3/15 mein kaha hai ki sansar ke jitney bhi kartavya karma hain woh vedon se nikale hain isliye prajatantra ko majboot wohi neta aur janta aadi bana saktein hain jo bachpan se hee Sri Ram, Sri Krishna, Raja Dashrath aadi pichhle anek rajaon kee tarah ved vidya ke gyata banein. Vedon mein prajatantra evam vishudh rajneeti ka gyan vistaar se diya gaya hai. Usee Vedic gyan ko prapt karke pehle ke raja Manu, Kshipt, Vikshipt, Yayati, Harishchandra aur unkee praja ne rajya ka sanchalan karke sukhi jeevan parpt kiya tha. Aise raja hee apni praja ka putra aur putriyon ke saman paalan karte thie.

Pranjal: Mein 12th class me hun swamiji mera man padhai me nahi lag raha sirf dosto ke sath masti karne aur gaane sunane me lagta
Swami Ram Swarup: In this regard, I paste some of my articles below:-

Vidyarthi ke liye updesh

Maine pehle bhi bataya beti ki jis student ka dil bilkul bhi padhai mein nahin lagta woh uske ya to pichhle janam ke paap karma ka phal hai ya is janam mein woh aalsi hai. Aalsa karan bhi ek paap hai. Waise to yeh vedon mein kahi brahma gyan ki baatein hain iitni jaldi yahan kaise samjhaaun. Par thoda samjhane ki koshish karo yeh shareer, indriyan aur mann, buddhi prakriti ke rajo, tamo aur satogunn se bani hain isliye yadi kisi manushya ki kathor vedic sadhna nahin hai to rajogunn- vishya vikaar, tamo gunn- aalasya, nidra aur satogunn- ahankar failate hain. Pratyek pranni ke mann mein yeh vikaar hote hain. Wahi vikaar aapke mann mein bhi hain ya kisi bhi vidyarthi ke vikara se prabhavit mann padhai mein nahin lagta, vishya vikaar, ya aalas mein lag jaata hai.

Ab yadi aapko samajh mein aaye to yeh samjhna hai ki aap aur main ya duniya ka koi bhi human being na shareer hai, na indriyan hain aur na mann- buddhi hai. Hum ek chetan avinaashi jeevatmayein hain aur manushya ke shareer mein rehti hain. Hum jeevatmaon ko ishwar ne yeh shareer, indriyaan aur mann buddhi isliye diye hain ki hum inpar command karke mann-buddhi aur indriyon se kewal shubh karma,kathor mehnat , (hard working) itiyaadi karein. Inko jeevatma agya de aur woh kaam karein. Lekin aam insaan (jeevatma) ko yeh vedic gyan na hone ke karann ulta rajo, tamo, sato gunn se bane mann or bhuddi ka gulam banana padta hai. To mann kehta hai Vishay vikar karo to karne lagta hai, kyunki hum mann. Budhi par command na karke aur vedic gyan na hone ke karann avidyagrast hokar aalas, nidra , Vishay vikaar ko jo paap ki nishahni hai usey punnya maankar, theek maankar chusti nahin karte,mehnat nahin karte isliye achchhe karma nahi karte, burai ko burai nahin samajhtey or jeevan ko barbaad kar lete hain. Aap hi batao aapka mann padhai mein nahi lagta to kya aap usi waqt mann ke gulaam nahi ho jaatey or phir padhai band kar dete ho ya phir kisi soch mein pad jaate ho aur aasani se keh dete ho ki aaj mera padhne ka mood nahi hai, mann nahin hai yeh kitna bada paap hai, Jab kisi ko gyan ho jaata hai ya pichley janam ka punnya saath hota hai to is rahasya ko jaanne ke liye woh vidyarthi- manushaya , nari (i.e., jeevatma) fauran mann ko order karti hai ki mian tere jaal mein nahin phansungi main tera commander hoon. Mujhe Ishwar ne tere upar command karme ke liye bheja hai. Isliye as a commander main (jeevatma) tujhe hukam deti hoon ki yeh aalas,nidra aadi chhodkar padhai mein lag ja or iss prakaar mann haar jaata hai aur usey apne commander kee baat maannee padti hai aur aisa vidyarthi padhai karke apne jeevan ka sudhaar kar leta hai. Anyatha maa-baap, rishteydaaron, doston aadi ke samjhane par bhi vidyarthi (jeevatma) mann ka gulaam banker padhai ya shubh karma nahi karta woh kisi kee nahi sunta. Isliye vidyarthi apne chetan swarup jeevatma ko samjhe or mann, buddhi, indriyon or shareer rachna ko samjhe, Ishwar ka naam jaap karey, phir kabhi bhi koi haani nahi hogi. Hamara yeh vichaar paap wala vichaar ho jayega ki Ishwar chahta hai ki hum padhein ya shubh karma na karein. Hum aise gande vichaar tabhi rakh saktein hain jab hum ved vidya nahi suntey aur phalswarup Ishwar ke divya karma, gyan or shakti tatha uske swarup ko nahi jaante. Yahaan yeh samjho ki ishwar hamara parampita hai. Usne yeh sansaar aur uske yeh padarth jisme vayu, anna, dhan, parivaar aadi sainkadon padarth hamare sukh ke liye banayein hain aur sabse badi daya Parmeshwar ne manushya jaatee par yeh kari hai ki usne hamein Charon vedon ka gyan diya, jispar chalkar hum apne sabhi paap karmon ko nasht karke iss jeevan aur aaney wale jeevan ko sukhi banaakar arth, dharma, kaam aur moksha ke sukh ko prapt karein. Ab yahaan yeh kehna padta hai ki kisi ne badaa sundar kaha-

“Jisko nahi hai bodh toh Guru gyan kya karey”

Burai mein fanskar jisko gyan prapt karney kee ichha hee nahin hai toh usey Brahmagyani acharya bhi shiksha de toh woh shiksha grehan nahi karega. Isliye gyan lene kee swayam ichha honee chahiye aur mann mein uthe paap karmon aur buraiyon ko maar dena chahiye kyunki kaha bhi hai-

“Mann jeetey jag jeet”

Isliye Geeta shloka 6/5 mein kaha ki Aatma ke dwara aatma apna udhdhaar karey arthat manushya swayam hee aalas tyagkar purusharth aur utsaah, sadhna evam shubh karmon ko kartey hue swayam apna udhdhaar karey kyunki swayam aatma hee aatma ka bandhu hai aur aatma hee aatma ka shatru hai. Arthat Vidyarthi ho ya manushya ho jab tak kisi ved ke gyata se prerna lekar swayam purusharth nahi karta, jeevan mein apna acchha target banaakar (padhai-likhai, dhan kamaney, mata-pita kee sewa karney, shubh karma karne ityaadi) usey prapt karne ke liye kadee mehnat nahi karta toh uska patan nishchit hai, woh apne iss jeevan ko nasht kar leta hai. Ishwar toh hamara parampita hai isliye toh hamein aagey badhne ke liye vedon mein bahut gyan diya hai, achchhee-achchhe shikshayein dee hain. Yadi hum swayam purusharth karke vidwanon se ved na suney, unse prashann karke apnee bhrantee ka samadhaan na karein aur iss prakaar apne kashton ka naash na kare toh issme Ishwar ko dosh lagana mahapaap hai. Isliye Kathopnishad ke Rishi ne kaha- ‘ Uttishthata jagrat prapya’ arthat Rajo gunn ityadi se utpann vikaron se jaago or swayam apne lakshaya ko prapt karo.

Jab aap exam mein topper rahe tub aap par rajo or tamo gunn ka prabhaav nahi tha isliye aap mehnat kartey the ab pooree tarah se aap rajo, tamo aur sato gunn ke prabhaav mein ho, aap ko swayam upar kahe updesh par chalkar in teenon gunnon ke prabhav ko hatana hoga.

Yeh vichaar ved ke virudh hai, Ishwar ke khilaaf hai ki jo karta hai woh Ishwar karta hai. Vaastav mein iska arth yeh hai, jaisa Yajurved mantra 7/48 mein kaha ki Jeevatma achhey-burey karma karta hai Ishwar uska kramshah paap-punya ke roop mein phal deta hai. Aur puny ka phal sukh aur paap ka phal dukh bhogna hota hai. Isliye Ishwar sab kuch nahi karta. Woh hamare karmon ka phal deta hai. Baakee Ishwar ke anant divya kaam hain jaise janam-mrityu, srishti rachna, rituon kee adla-badlee, aakash mein surya, chandrama, prithvi ityadi ko ghumanaa aur unhe sambhalkar rakhna ityadi-ityadi. Yadi Ishwar humse apnee marji ke acche-burey karma karaey toh dosh Ishwar par jayega, hum par nahi aur aisa kabhi hota hee nahi hai.

STUDENT LOSING CONCENTRATION

Concentration is not made on mind, but mind has to be concentrated on particular point or subject etc. It requires practice of Yam, Niyam, Asan, Prannayam, Pratyahar, Dharnna and Dhyan then one attains Samadhi. In this path, guidance of a spiritual master who knows Vedas and Ashtang Yoga philosophy is needed. Holy name jaap of God helps a lot. I have written a book on Yoga which can be sent on receipt of your postal address. However, personal guidance as stated is essential. It is a moral duty of a student to concentrate on hard study and to look after his health. Avoid bad society always concentrate on your Brahmacharya. Awake early in the morning and after bath-brush etc., do holy name jaap of God at least for fifteen minutes. Go for morning walk and light exercises daily. Take plenty of water i.e., 15-20 glass in a day. Always respect your parents, elders and teachers. Must be soft spoken, Avoid TV to see bad scenes, films etc. This all will help you to concentrate in you study. Whatever, you study and learn, try to write on rough book a lot without seeing books etc. Please refer to the book- “Brahmacharya-Dukh Nivarak Divya Mani”.

How to obtain success as a student

A student must do hard study with firm mind to get success. However, ‘WHERE THERE IS A WILL, THERE IS A WAY’ AND IT IS ALSO SAID THAT “NEVER BECOME NERVOUS AND TRY, TRY, TRY AGAIN.”

Hard working, devotion, dedication, honesty, services to the parents and elders to follow eternal religion mentioned in Vedas, practice of Ashtang Yoga, discharge moral duties to get progress simultaneously in education, science and in spiritualism, do daily havan, to make contact with the learned Acharya, to get his advice are some of the pious deeds which make the future bright and kill the sorrows, problems, diseases, etc.

One must awake early in the morning for early morning walk and exercises. Must sit on meditation and chant holy name of God, must be away from any addiction and non-vegetarian. Such pious actions lead to long, happy life and bright future.

THe HARD STUDY DONE BY STUDENTS AND THEIR GOOD HEALTH WILL SURE GIVE THEM SUCCESS TO MAKE THEM A GOOD EARNING HAND. THE STUDENT MUST ALSO CHANT GAYATRI MANTRA DAILY.