Basant: Namaste swami ji, What is GuNaateet swabhav? Gita mentions about it. Gunaateet swabhav is mentioned in satyarth prakash. I want to know who can attain this gunateet swabhav and when he attains this?
Swami Ram Swarup: Namasteji. Gunateet swabhav means he who has taken command over prakriti. ‘Gunna’ means Raj, Tam and Satva, such Yogi attains Samadhi and realizes God. Samadhi is attained by listening to Vedas and doing yajyen, name jaap of God, hard practice of Ashtang Yoga under the guidance of learned acharya of Vedas and Yoga Philosophy.

Anonymous: Namaste Swamiji. Parikshay lokaan karm chitaan karm nirvedsam brahamanh kritah kraten… It is mentioned in satyarth prakash that- sab laukik bhogon ko karm se sanchit dekhkar brahman arthat sanyasi vairagya ko prapt ho aur kuch arpan ke arth lekar guru ke pas vijyaan ke liye jaye. Jake sanshayon ki nivritti kare. Inka sang chhod de jo-
Avidyaamantare swayam dhira panditam manyamana janghanyamana…
=jo avidya ke bheetar khel rahe khud ko vidvan aur dhir samajhte hain ve aatur hokar janm maran mein fanse rahte hain. Swami ji kripya bataiye ki vairagya hone par kin shansayon ki nivritti ki jati hai. Shastra mein aisa kyun likha hai ki-
YAD.HAREV VIRJET TAD.HAREV PRAVRAJET GRIHADVA VANADVA BRAHMACHARYA DEV PRAVRAJET?
Swami Ram Swarup: Namasteji. Jab koi jigyasu kisi vedic (real and Ashtang Yog ke gyata, Acharya) Acharya se vedic shiksha prapt karta hai tub dheerey-dheerey weh vedon mein kahe traitwad arthat Prakriti, Jeevatma aur Pramatma ke avinashi swaroop ko jaan jaata hai. Weh avinashi Charon vedon se Gyan kand, Karma Kand aur Upasana kand, in teen vidyayon ko bhi jaan leita hai aur jab weh Ashtang Yog aadi ki kathor sadhna karta hai tub weh Yog shastra sutra 1/15 aur 1/16 ke anusaar srishti ke banaye pratyek bhog padarthon se apnee vritti hatakar par- vairagya ko prapt kar leita hai. aur is prakar vairagya prapt Yogi ke jeev, Ishwar, prakriti aur Prakriti se bane sampoorna srishti ke vishye mein sabhi sanshaye smapt ho jaate hain. Iske vipreet jo upar kahee hue vedic shiksha aur Ashtang Yog vidya aadi ka abhyas nahin karta aur khud ko vidwan jataata phirta hai, aison ko chodney ki baat Swami Dayanandji nein bhi kahi hai.

Anonymous: Kisi ladki se pyar kab tak chalta hai jab tak paisa ho tab tak ya jab tak jindgi ho tab yak
Swami Ram Swarup: Atma se pyaar agar ho to zindagi bhar chalta hai aur agar physical charm ho to jab tak paisa aur jawani hai, tab tak chalta hai.