Aseem: Pujya Guruji, Kundlini (shakti) kya hoti hai, kya iska varnan Vedon mein hai? Agar yeh shakti hai to kya aur bhi aisi shaktiyan hoti hain aur kaun si? Riddhi aur Siddhi kya hoti hain? Kya Maa Durga, Ambe shaktiyan hain like unlimited different manisfestations / powers of the Almighty God Himself? Mantra (uccharan) hamein kaise affect karte hai ya phir nahin..hamein aisa kyun agta hai? Kabhi kabhi mujhe meditation karte samay sharir main kampan (energy like) aur bharaav (locking of my body – bilkul asthir) mahsus hota hai..and i want to / and may be could remain in that state…woh kya hai
Swami Ram Swarup: My blessings to you.

I paste my articles in this regard.:-

Kunadlini activation

Mere study of Vedas and other holy Granths does not help in attaining the purpose until we put into practice the preach given therein, in daily life. Realization is only possible after tapsya like Yajyen, daily worship, brahmacharya and daily hard yoga practice etc. According to four Vedas and Patanjal Yoga Darshan and also based on my personal experiences, it is not an easy task to awaken the kundalni. I cannot give brief here, being secret one but I can only tell here that kundalni is a part of body and it reaches at murdha to open the path of brahmrandra , where a yogi realizes God. Murdha is a point at forehead, between two eyebrows , where ida and pingla nadi meet. Kundalni is awakened after long Ashtang yoga practice. Some say that it is a matter of three months. See that God is called Atithi in Vedas. Atithi means He who has no date of His visit i.e., you can not fix date for appointment. If we say for three months or so, it means we have ordered God to be present before us within three months where as Atharvaveda mantra 4/30/3 states that after seeing the good quality and tapsya etc., of an aspirant God Himself makes the aspirant able to realize Him at any date which is fixed by God and not by man.

Hence, time bound Kundalni Jagran is not possible as no one can give order to God. Geeta book says, “BAHUNAAM JANAMNA ANTE” means after so many births aspirants realizes God. So yoga should be learnt and practised faithfully. It is up to God and Guru jee when kundalini is awakened. Because awakened means realization of God.

Mantras to awaken kundalani

Mere study of Vedas and other holy Granths does not correct the purpose until we put into practice the preach given therein, in daily life. And realization is only possible after Tapasya like Yajyen, daily worship, brahamcharya and daily hard yoga practice etc. according to four Vedas and Patanjal Yog Darshan. Based on my personal experience, it is not an easy task to awaken the kundalini. I cannot give complete description in this book, being confidential but I can only tell here that kundalni is a part of body and it reaches at murdha to open the path of brahmrandra, where a yogi realizes God.

Murdha is a point at forehead, between two eyebrows, where ida and pingla nadi meet. Kundalni is awakened after long Ashtang yoga practice. Some say that it is a matter of three months. See that God is called Atithi in Vedas. Atithi means He who has no date of His visit i.e., you can not fix date for appointment. If we say for three months or so, it means we have ordered God to be present before us within three months where as Atharvaveda mantra 4/30/3 states that after seeing the good quality and tapsya etc., of an aspirant God Himself makes the aspirant able to realize Him at any date which is fixed by God and not by man. Hence time bound Kundalni Jagran is not possible as no one can give order to God.

Geeta book says, “BAHUNAAM JANAMNA ANTE” means after so many births aspirants realizes God. So yoga should be learnt and practised faithfully. It is up to God and Yogeshwar Acharya when kundalini is awakened because awakened means realization of God. So one must listen to Vedas, must do the pious deeds according to Vedas, must do daily hawan, Yajyen, must recite holy name of God daily and must do hard practice of Ashtang Yoga under guidance of learned Acharya so that his kundalini gets awakened.

As per eternal knowledge of the Vedas which emanates direct from God, Vedas are called “self-proof”. Samadhi means realisation of God which has eight parts i.e., Yam, Niyam, Asan, Pranayam, Pratyahar, Dharnna, Dhyan, Samadhi.

The person who has attained Samadhi means he has overcome all worldly illusion which is created by rajo, tamo and satto gunn of prakriti and such yogi realises Almighty God within their heart. All their deeds of previous lives- whether good or bad are burnt and such yogi never tells lies. In this category Sri Ram, Yogeshwar Sri Krishna Maharaj, Vyas Muniji, Guru Vasishth i.e., several Rajrishis and Rishis got the Samadhi by following eternal Vedic path only and world knows their character and knowledge very well. Samadhi gives eight siddhis i.e., Anima, Garima, Mahima, Laghuma, Ishisht, Vishishth, Prakamya, Prapti. So qualities of said siddhis are divine.

You see that any yogi who has done the above worship will never tell that he has acquired the quality of flying. It is the best known by yogi like Maharishi Dayanandji or others. This is their matter to tell whether they have that quality or not and whether they want to disclose it or not, whether they want to use this quality or not. A Yogi has several divine qualities like to make his body like an atom or to increase it to largest size etc. but it is yogi’s matter, as quoted above. When a person becomes Yogi, God blesses him with several divine qualities as mentioned in Yajurveda chapter 7 and in yog Shastra sutra 3/45.

A: Pujiya GURUJI! Dandwath Pranaam! Aap ke kripa aur ashirwaad se hum sab theek hai. GURUJI aap se aagya leni hai. GURUJI, agar aapki aagya ho toh, mei April ke yagya mei, Manisha ke saath 1 month ke liye waha rehna chahti hun. Mei april mei, yagya anushtaan se May 1st week tak rehna chahti hun. Aapki aagya ki pratiksha karti huyi. Dandwath Pranaam!
Swami Ram Swarup: My blessings to you all, my daughter.

Aapko agya hai, sure my daughter you can make your stay in ved mandir for as much time as you like but permission from husband is also essential.

KC: Namaste guruji. bhut achaa lga apki mail read krke.guruji gayatri hawan ka pura procedure kya he, gayatri mantra se pehle kaun se mantra krne hote he. or gayatri mantra ki kitni ahutiyan deni hoti he. sab kuch bta dijiye.guruji main student hu. abhi mca ki study kr rha hu. guruji bhagwan ki kirpa se kisi cheez ki bhi kmi nahi he. koi dukh bhi nahi he.kyunki sansari dukh sukh sharir ke rehte hue hi he.yehi jaante hue in dukh sukh ko nahi maanta. but jo dukh he us mushkil ka hal nahi niklta. bus kei vaar jab bhagwan ke bhajan krta hu. toh us wqt expectations hoti he ke bus ab bhagwan aakar drshan de de. ankhen band krta hu toh kei vaar narayan bhagwan ka chatarbhuji swaroop bn jaata he. lekin aankhen kholne per kush nahi hota.yeh tb hota he jab main bhajan krte wqt bhagwan ki yaad mein rone lgta hu.main kya kru guruji.plz mujhe pagal na smjhna. mujhe aisa lgta he ke bhagti mein koi kmi reh gei he. main nahi chahta ke mera koi agla janam bhi ho. isi janam mein moksha paana chahta hu.bhagwan ki kirpa se jab chota tha tbhi shri mad bhagwat, bhawgat geeta, narsingh puran, garg sanhita, kalyan, agni puran. shiv puran. valmiki ramayan, yeh sb read kiya he. or abhi bhi shrimad bhagwat read krta hu. subah main shiv chalisa, shiv stotra, shiv panchakshar stotra, shiv kavcham. read krta hu. 5 wje shrimad bhagwat read krta hu. 7 pm ko mahamrityunjay mantra ki maala ka jaap krta hu. raat ko jab sota hu toh andar hi andar om namoh narayana ka jaap krta hu. guruji main study ke saath social worker bhi hu. logo ki seva krna bhut acha lgta he. guruji koi aisa guru mantra he jisse main bhagwan ke nikt pahunch sku. hawan krne se kya mujhe frq pdh jayega.bus mera maarg darshan kr dijiye. main apka saari zindgi abhari rhunga.

Swami Ram Swarup: Namasteji.

Gayatri hawan karne se pehle kam se kam teen baar asan par baith kar, ankh band karke agya chakra par dhyan lagaakar arth sahit uchcharann kiya jaata hai. Iskey baad sandhya mantra se hawan prarambh hota hai. Sandhya mantron kee pustak “Yajyen karma Sarvashreshth Ishwar Pooja” (in Hindi) aap yahaan se mangwa kar avashya adhyayan karein. Usmein hawan karrne kee vidhi bhee batai hai. Hawan samapti par phir teen baar Gayatri mantra kee aahuti dekar poornnahuti dalni chahiye. Hawan karne ki vidhi ki audio avam video , dono hee CD aap yahaan se mangwa sakte hain.

Mujhe khushi hai kee aap Ishwar kee vanni ved ko chahne lagey hain. Yeh app jaan levein kee jo Ishwar kee vanni se prem karrta hai, Ishwar bhi ussey se prem karta hai aur weh jeev sadaa sukhee rehta hai.

Han shareer karmon ka phal bhogne ke liye milta hai isliye shareer ke rehte hue hee dukh hai isliye lambi aayu prapt karke shareer tyagne se pehle Ishwar kee Vedic bhakti karke Ishwar nein moksh prapt karne ka updesh diya hai. Kyunki moksh prapt jeevatma punaha manushya , pashu-pakshi aadi ka shareer nahin dharann kartee kyunki uske sab karma bandhan Vedic sadhna se nasht ho jaate hain. Kyunki dukh to yahaan tuk aatey hain ki jeev ro padta hai aur kayee kayee agyani to ghabra kar atma-hatya jaisa paap kar leitey hain. Jaise pair mein kaanta lagta hai to pair kee skin aur sensation dwara yeh kaanta lagne ka dard shareer mein rehne wali chetan jeevatma ko hee sehna padta hai. Isliye kai sant ved-virodh jhoot prachar kar deitey hain kee hum to chetan, shudh dukhon se parey jeevatma hain, hum sukh-dukh se parey hain, yeh bilkul ved virodh safed jhoot hai. Jhoot se pratyek manushya door rahe.Aur satya ved vidya ko jan kar apne pichle janam ke karma bandhanon ko nasht karke phir sadaa sukhi rahe.

Ishwar Nirakaar hai, Uska koi roop nahin hota, Weh Jyoti Swarup hai, Weh Gyan Swarup , Anand Swarup hai. Yajyen, Yogabhyaas aadi sadhna dwara Ishwar sadhak ke hridaya mein Jyoti Swarup mein prakat hota hai aur sadhak ko Somrus arthat anand aur gyan mehsoos hone lagta hai.

Ishwar kee yaad mein rokar prem ke aansu bahanaa to achcha kaha hai. Aap Vedic bhakti seekhne ka prayaas karein. Aapne jitney purann ka adhyayan kiya hai, iske bare mein baad mein batayunga. Aab aapko Vedic pustakein padnee chahiye. Vedon mein to Ishwar nein swayam gyan diya hai. Kuchch pustakon kee list neechey dee hai. Unmein se jo pustak achchee lagey (ek ya do) usey mangaa kar padne kee koshish karein. Issey aap bahut gyan prapt karogey.

Ab aap jo list mein Bhagwad Geeta hai, issey padein. Ismein Vedic vichar hain. jab eh pustakein pad logey to uske baad agey sadhna karne ka tareeka poochch leina.

Social worker banna achcha hai lekin worker banne se pehle hamein dhyan deina hota hai kee kya hamne pehle apney aap ko sudhar litya hai ya nahin.

Guru mantra to hai hee, aur jab aapki ichcha hogee to kisi bhi Vedic vidwan se deeksha le leina aur agar yahaan aap aa jaaogey to main deeksha de doonga.

Hawan karne se bahut farak padeiga. Abhi aap dono time hawan karo aur uskey baad asan par baithkar Gayatri mantra ka jaap karo, lekin in sab baton mein apne kartavya na bhool jaana ki aap student ho aur upar kahi sadhna karte- karte aapne pooree concentration se purusharth se aur utsah se rozana padai karnee hai. Mera tumhe ashirwad.