R: Swami ji maine aapko padha aap par visvaas hua hai. Mera bhai ne last month suicide kr liya. Usse koi pareshani nahee thi. Main aur mera poora pariwaar mar mar k jee rahe usse wapas pane ki dua kr rahe hain. Hum apne bhai ko kaise wapas pa sakte hai? Kya wo hume sun sakta hai? Dekh sakta hai? Kya hum usse baat kr sakte hai? Wo mujhse chota tha. Meri maa ka bura haal hai.. Swami ji mujhe raasta dikhye please.
Swami Ram Swarup: Mera aapko hardik ashirwad, beta aapke bhai ka achanak jo swargwaas hua weh bahut hee dukh kee baat hai. Hamein bhi iska bahut dukh hua hai. Lekin jo jeevatma shareer se nikal jaatee hai aur shareer ka daah sanskar ho jaata hai, to weh jeevatma dubara us shareer mein kabhi nahin aatee. Yeh Iishwar ka kabhi na badalne wala atal niyam hai. Isliye hamein apne dil ko samjhana hota hai, shanti banaye rakhnee hotee hai aur Ishwar ke niyam ka samman karna padta hai. Tabhi toh sab buzurg/gyani yahi kehte hain ki Hey! ishwar jo Teri ichchha.

Maut na aaye ussey pehle ved mantron se Yajyen karke maut ko tala ja sakta hai, aayu lambi kee ja sakti hai lekin jub maut aa hee gayi phir to kuchh nahin kiya ja sakta, kewal dheeraj hee rakha jaata hai.

Aapki mataji ko mera prannam, ashirwad dena aur kehna ki Atharvaved aisey samay mein Ishwar ke niyam ka samman karne ko kehta hai aur roney ko manaa karta hai. Ved mein kaha hai ki jo hamse bichhud gaye hain unke liye roney se hamari aayu ghat jaatee hai aur dukh bad jaatey hain.

Kunti ke pati kee death ho gayee thee, Arun ka ek hee beta Abhimanyu tha jo yudh mein shaheed hua tha. Yudhishthir ke paanchon beton kee sotey samay hatya kar dee gayee thee. Lekin in sabhi nein dheeraj rakha aur Yudhishthir nein 36 sal tak rajya kiya. Un bahaduron nein apne bichhde parivaron ke liye aur jeevit parivaron ke liye adhik se adhik yajyen kiye jisse bichhdee hue jeevatmaon ko shanti prapt hotee hai aur unkee gati hotee hai, aisa Atharvaved mantra 11/1/19 mein kaha hai.

Atah aap rozana Gayatri mantra se hee hawan kar liya karo, ussey aapke bhai ko achchhi gati parpt hogee. Is dukh ki ghadi mein main aur mera parivaar sabhi aapke sath hain. Mera sab parivaar ko ashirwad. Aur apke bichhdey hue bhai ki jeevatma ke liye main Ishwar se prarthna karta hoon ki uski sadgati ho uske liye main 30 September ko ved mantron se Yajyen bhi karoonga.

Ayesha: Namaste swamiji, mein Om ki aradhna kar rhi hu. Lekin mere maa boli ki tumhe abb ye sab band karna hoga.
Swami Ram Swarup: My blessings to you, my daughter.

Om to vedon mein Ishwar ka sabse uttam naam kaha hai. Yajurved mantra 40/15 mein Ishwar nein kaha hai-“Om Krato Smar”. Ay karma karne wale pranni! Ishwar ke naam OM ka smarann kar. Bhaav hai ki Ishwar khud hamein keh rahaa hai ki Om ka smarann karo. Tub hum sansar ke kisi bhi purush athwa nari ke kahne se Om ka smarann kaise chhod sakte hain, isko chhodna to mahapaap hoga kyunki aisa karne se hum Ishwar kee agya ka palan nahin kareinge aur paapi kehlayeinge.

Anonymous: What are the advantages and disadvantages of nature?
Swami Ram Swarup: Here nature means Prakriti. So most important advantage of Prakriti is this that God creates entire universe out of it including sun, moon, air etc., which are the means of survival of living beings.We cannot say that there is any kind of disadvantage of Prakriti. Prakriti has three qualities – satva, raj, Tam, from which every materialistic article is made. Even all the bodies of living beings are also made of these three qualities (gunn) of Prakriti. Now, it is upto soul who lives in human body that he is attracted towards the materialistic articles of universe. In this situation soul is ignorant and forgets his original shape of being the purest, alive and learned. Soul is actually attracted towards materialistic articles of world, forgetting his original form. At this stage soul indulges in illusion and further indulges in vices like greed, anger etc., thereby ruining himself. Soul when makes contact with learned acharya of Vedas, himself becomes learned and attains salvation. So, there is no disadvantage of Prakriti but due to attraction of soul towards materialistic articles of Prakriti like property, gold, attachment etc., soul himself is responsible to be indulged in illusion.