Upendra: Pranam guruji. Guruji hum pranayam din bhar me kitne baar kar sakte hai.bhojan karne ke baad bhi pranayam karna kya uchit rahega. Guruji krupya gyan dene ki kripa kare. Apka putra Upendra.

Swami Ram Swarup: Mera aapko ashirwad beta. Grihasth ashram mein kewal do baar prannayam kafee hai, subah aur sham. Nahi bhojan ke baad kam se kam aadha ghnata prannayam na karein. Ashirwad beta.

Upendra: Pranam guruji.guruji गृहस्थ ashram me rahe kar अपरिग्रह ko kaise follow kare.kitne वस्त्र rakhe aur kaunse niyamo ka पालन karna chahiye.guru ji apne putra ko gyan dene ki kripa kare.

Swami Ram Swarup: Mera aapko ashirwad beta. Jaroorat se jyada vastra aur anya vastuon ka sangrah na karein. Parantu dhan avashya bachayein aur jamaa karein jo samay aane par kisi bhee vastu ko khreed sakta hai aur Ishwar ne dhan aur ann ka malik hone ka ashirwad bhee diya hai.

Anonymous: Holika sabd ka Arth kya h

Swami Ram Swarup: Holi ka arth to aap jantee hee hain, beti ki holi Hinduon ka tyohaar hai jo phalgun kee poornnima ko manaya jaata hai aur Holika ek rakshasnee ka naam bhee hai.