Anubha: Swamiji mere ghar mein tulsi ke podhe ke sath salagramji bhawan rakhe the wo gayab ho gaye hai.subah the sham ko nahi hai? mein bahut chinta mein hu.mujhe raye dijiye.
Swami Ram Swarup: Chinta kee avashyakta nahin hai, usey koi utha kar lei gaya hoga.
Yeh baat avashya hai ki vedon ke anusaar hamein Nirakar Ishwar kee upasana karnee chahiye jisne yeh sara sansaar banaya aur jo khud uskee palna kar raha hai.

Harpreet: Yadi koi banda tagi chori dhokha deta hai uska kya hoga
Swami Ram Swarup: Thag chor dhokebaaz insaan ko Ishwar sazaa deita hai. Ishwar
kann-kann mein vyapak hai isliye hamein samajhna chahiye ki weh hamare ander-bahar aur sab jagah niwas karta hai. Weh hamare har achchhey burey karmon ko dekhta hai. Achchhey karma karne ka weh phal punnya deita hai aur burey karma ka phal paap deita hai, paap ka phal dukh
hota hai.

Harpreet: Yadi koi banda vehla rahe mahnat na kare dosro ke saath larai jhagra kare kisi ki baat na maane to uske saath kya karna chahiye plz send your answer
Swami Ram Swarup: Sabse pahle to aisey bande ko shiksha dekar theek raste par lana
chahiye. Isliye aap pehle toh uskee buree aadat chhudane ke liye samajhayein, achchhee shiksha dein, agar woh aapke ghar ka member hai. Yadi nahin hai toh bhi aap usey samajhane kee koshish karien nahin to uska sath hamesha ke liye chhod dein.

Ranjeet: Swami ji satya kya hai or asatya kya hai ise kaise paribhasit kiya ja sakta hai?
Swami Ram Swarup: Bhagwad Geeta ke shloka 2/16 mein spasht kaha hai ki jis tatva ka
kabhi abhaav nahin hota weh satya hai arthat jo vastu (tatva) anadikaal se chalee aa rahee hai, arthat jo bhootkaal mein bhi tha, abhi vartamaan kaal mein bhi hai aur yeh duniya rahe na rahe weh vastu
(tatva) bhavishya mein sadaa rahegaa isey hee satya kehte hain. Dhyaan se dekhne – manan karne aur ved kee vidya sunne se yeh samajh aatee hai ki Nirakar Sarvavyapak, Sarvashaktimaan Parmeshwar jisne yeh sansaar banaya hai aur jiska weh palan poshan kar rahaa hai aur jiska ant mein weh sanghar kar deta hai, wahi Ek Ishwar satya hai, Wahi Ek Ishwar anadikaal se pehle bhi tha, ab bhi hai aur agey bhi rahega. Is Parmeshwar ko hee Yajurveda mantra 40/8 mein Swayambhu kaha hai.

Doosra satya jad tatva Prakriti hai jis sey yeh sansar banta hai. Teesra satya Ishwar se utpann charon ved hain aur chautha satya jeevatmayein hain.

Acharya kee sharann mein jaakar ved vidya dwara har Rishi – muni, Sri Ram, Sri Krishna maharaj, Raja Dashrath, Janak, Harishchandra aadi aur unkee praja nein upar likhe inheen charon tatva jo satya hain, unka anubhav kiya tha aur amar ho gaye. Aaj prayaha insaan ved vidya na jaankar jhooth ko hee satya keh raha hai aur dukhee hai. Iske atirikt sab asatya hai arthat jo vastu (tatva) kabhi hotee hai aur nasht ho jaati hai weh asatya hai jaise sampoornna srishti ke padarth, sooraj, chand, jal, vaayu, hamare shareer aadi sab asatya hain kyunki bante hain aur nasht hotey rehtey hain.