Zim: Pranam Swami Guruji…Meri age 20 year hai aur weight only 45 kg. Mai bahut patla hun jis karan dikhne me achha nahi lagta hun, isliye mai kuchh mota hona chahta hun. Kripa kar k aap apna amulya sujhaw den.
Swami Ram Swarup: My blessings to you. Mota honey ke liye aapko rozana pratah do-teen keley (bananas) kha kar doodh peena chahiye. Dalon ka sewan zyada karein, saath hee saath adhik se adhik paani piyein aur rozana sair aur exercise karein. Cow ghee (Desi ghee) rozana bhojan ke saath lein. Ek baat avashya hai, agar koi bhi manushya Brahmcharya dharann kar leta hai, paushtik ahaar leta hai, apney Samarth ke anusaar bhaar uthakar door tak ley jaaney par thakta nahin hai, nirog hai aur shareer patla hai to ussey motey honey kee avashyakta nahin hai.

Shardha: Bhagvan sach me hote hai?
Swami Ram Swarup: Samay par (seasons) rituyon ka aana, prithvi, surya, chand aadi ka niyam se apne-apne sthan par antariksh mein, bina sahare ke tikey rehna, janam mrityu ka hona, vegetation ka ugna, vayu ka behna ityadi jo divya karma hain, srishti kee rachna, palna aur sanhaar, yeh apne aap nahin hotey. Yeh aisey divine deeds hain jo khud nahin hotey, inpar kisi shakti kee command hai, wahi shakti iski rachna aadi kartee hai. Ussee shakti ka naam Parmatma hai.

Kya Bhagwan Hai

Bhagwan ko siddh karne ke liye sabse zyada anumaan pramann kee avashyakta hotee hai. Aap anumaan lagao ki yeh antariksh (Akash/space), sooraj, chand, sitarey, Prithivi kisne banayee aur sab planets ghoom rahe hain, yeh gir kyun nahin jaate. Inhein kisne apnee shakti se pakad kar akash mein sthir kar dharann kiya hua hai. Aap ka jawaab yeh nahin ho sakta ki kisi scientist nein ya kisi aadmi nein banaye hain uska naam Ishwar hai. Jab aap koi kamra(room) banyeingey aur kamre ke liye eent(brick), cement, ret(sand) , concrete , paani vagairaha sab kuchh de do to kya mistri mazdoor ke bina weh kamra ban jaayega. Isi prakar yeh itna vishal jagat bina kisi ke banaye nahin ban sakta aur jisne yeh jagat banaya uska naam Bhagwan hai.