Anonymous: Namaste gurujii, mai aapki baat samjh gaya mai aapke pass jarur aaunga kabhi

Mera ek or question kya aap pore universe mai akele charo vedas ke gyata ashtang yogi or samadhist ho essa merko know your vedas channel nai bola tha

Swami Ram Swarup: Beta aap jo kuchh kar rahe ho theek hai prantu main yeh kaise kah sakta hun ki mere se alag koi char vedon ka gyata nahin hai ityadi. Aashirvad.

Anonymous: Swamiji namaste aapki tabiyat kesi hai?

Swami Ram Swarup: Beta meri sehat pahle se theek hai.  Aapko mera bahut Aashirvad.

Anonymous: Ishwar insaan ko unke karama ke according agle janam mai yoni deta hai( like – agar mere kharab karam hai to mai kutta …ya koi aur animal banu next janam mai)

    To jab universe create kari thi almighty god ne….us waqt sabhi ka naya janam tha… previous janam ke aache karam aur bura karam se koi matlab nahi tha us waqt logo ka… kyunki wo unka is Universe mai pehla janam tha….

    To mujh ye janna hai ki us waqt jo bhi animals ..ya keede makode…ya plants ya koi aur yoni mai janam liya kisi aatma ne…

    Wo kis hisaab se kiya god ne??? Matlab logo ko insaan ke alawa kisi aur yoni mai janam kyun diya god ne??

    Is baare mai zara mujh clear kar dijiye🙏🙏

Swami Ram Swarup: Beti sharir prakriti se bana jad vastu hai, banta bigadta hai, is sharir ke andar ham(jeev) rahte hain. Jeev janam mrityu se rahit hai. Srishti ka banna iska palan poshan karna aur fir pralay karna, yeh sab Ishwar ke adheen hai aur ek baat aur ki Srishti ka banna iski palna aur pralay hona yeh anadi kaal se chala aaya hai aur hamesha rahega. Anadi ka matlab hota hai jiski na kabhi shuruaat ho aur na ant ho, to Srishti mein jeevatmayein bhi anadi aur Anant hain arthat jeevatma kab bani iska answer hai hi nahin aisa ved kahte hain. Isliye jeevatma ko bhi vedon mein swayambhu kaha hai arthat jeevatma apne aap se apna astitva rakhe huye hai, jeevatma ko kisi ne banaya nahi hai. Isliye jeevatma ka  na maran hota hai aur na janam hota hai, jeevatma bhi anadi hai isliye yeh nahi kaha ja sakta ki jeevatma ke pichhle karam kya the, kis aadhar par uska janam hota hai ityadi. Bas jeevatma karamanusar sharir mein aati hai, yeh Chetan hai, is Chetan jeevatma ke karan jad sharir kaam karta hai.

Anonymous: I want to join yoga class and want to get vedas knowledge…

Swami Ram Swarup: Beti aajkal mera swasthya thik nahin hai aur age bhi 82 saal ki ho chuki hai isliye main ab yoga class nahin leta aur na hi vedon ki shiksha de sakta.