Anonymous: Swami ji namaste !! muje atharveda 18/4/42 ka artha batyein yahan mansa shabd kiske lie use hua hai?
Swami Ram Swarup: Namasteji. Charon ved kehte hain ki manushya ko maansa nahi khana chahiye.
Mansam shabda badaam akhrot aadi buddhivardhak meethey phalon ke liye prayog kiya gaya hai.
Anupam: गुरूजी नमस्ते।गुरुजी राजा परीक्षित व तकछक सर्प की कहानी में कितनी सत्यता है।परीक्षित राजा कैसे थे।क्या उनको वाकई सर्प ने काटा था।भागवत पुराण में उनका उल्लेख आता है।
Swami Ram Swarup: Blessings beti. Bhagwat purann rishi ka likha granth nahi hai. Yeh, Raja Bhoj ke samay ka manushya krit granth hai atah vedon ke vidwaan iskee katha ko authentic nahi maante.
Anonymous: Namaste swamiji,I m feeling hesitated to write my story but it is making me repent day after day that i cannot overlook it now and let life go like this only. And I dont have courage to share all this with anyone. I was a decent and bright student during my schooling but now I have got into bad company. How can I overcome it?
Swami Ram Swarup: Namaste beti. Anonymous beti, jo kuchh bhi karma aapne kiya weh ved ke against, paap karma hai. Aapko ved marg par chalkar yajyen aadi shubh karmon ke dwara yeh paap karma Ishwar se kshama karane chahiye. Anyatha beti kiya hua karma mithya nahi jaata. Koi punnyavaan karma karta hai to usey sukh milta hai, jo paap karma karta hai, usey dukh milta hai.