K: Guruji ko naman.. guruji mera qus ye h.. kya shadi se phele phyical relation banana galat h?? Kya girls and boys dono. Ke liye iseke liye paap equal h? Agr humeri shadi ase girl/ boys se hoti h.. jbeki hum janete h useka shadi se phele khi aur rel tha.. bt ab wo sudharna cheta ho.. hume kya ase insaan se shadi kreni chiye?
Swami Ram Swarup: My heartiest blessings to you. Jab aapne yeh question kiya tha to aapke hriday main zaroor sharm aur darr peda hua hoga. Yeh sharm aur darr Ishwar utpann karta hai parantu aam log isey samajh nahin paatey. Isliye paap badte jaate hain. Yeh sharm aur darr paida hona hee hamein updesh kar raha hai ki shadi se pehle physical relation banana galat hee nahin maha paap hai aur iska bura phal Bhagwan deta hai jo aagey chalkar insaan ko dukh ke roop mein bhogna padta hai.
Parmeshwar ne paap aur punnya bhogney ka niyam sabke ke liye ek samaan roop se banaya hai.

Jo boy sudharne kee baat kar raha hai, weh kabhi sudharega nahin. Aagey aapkee marzi hai.

Neeraj: Swami ji pranam. Mere prashan hai.
1.Abhi Kalyug ke kitne varsh baki hai. Kitne Samay baad agla yug aayegaa aur bhagwan ka awatar hoga?
2. Purane samay me bramhan TAPASAYA karte the aur tapasaya ki shakti unme hoti thi lekin aajkal vo samay nahirah gaya hai. Aajkal bramhan tapasya ki shaki kaise paaye. Ya duniya valo ke jurm sahte rahe.Aajkal bramhano ki shakti kya ho.
Swami Ram Swarup: My blessings to you.
1.) kalyug four lakhs, thirty two thousand years ka hota hain jismein se lagbhag paanch hazaar varsh beet chuke hain.

2.) Yajurved mantra 31/11 mein updesh hai ki Brahmin kehte hee usey hain jo vedon ka gyata ho, tapasvi ho, Ashtang Yog kee kathor sadhna kiye hue ho, uskee indriyan sanyum mein ho, jiske phal swarup uske hriday main adharma roop vishaye vikaar kee tanik bhi bhavna na uthti ho, kisi kee favour na karta ho, nishpaksh ho, nitya ved mantron se Yajyen karta ho ityadi. Yadi yeh gunn nahin hain to usey Brahmin nahin kehte, aisa ved mantra kehta hai. Shakti to jaise upar kahee tapasya se hee utpann hotee hai, yadi tapasya nahin to Shakti ka prashsan hee nahin uthta.