MeiKam: Dear Guruji, Is that true that based on the the sanskars of parents, they will get a soul with similar sanskars into the mother’s womb? If so, please comment more on this? Thanks!
Swami Ram Swarup: My blessings to you, my daughter. Yes, the babies are influenced with the parents’ sanskars.

Daya Shankar: Swami ji ko mera dandawat pranam Swamiji apki kripa se mere andar poorna astha prakat hui hai jisme mere sare sanshaya door huye hain bus ek bar aur milane aagya chahata hun.kya swamiji beech main bhi mil skte hain time_sdul kya hai mujhe pata nahin hai pls. batane ki kripra karen.
Swami Ram Swarup: Beta, mera aapko bahut ashirwad. Aur jub bhi aapka dil kare aap mere paas aa sakte hain.

Sameer: Mera dost jo ke aatyamhatya kar ke Mar gaya usko main Kaya janha uo jalaya gaya wanha main jakar sradhanjali de sakta ho? Please bata den.
Swami Ram Swarup: Aapke dost kee dukhad mrityu sunkar hamein bhi dukh hua lekin ab to weh shareer chchod chukka hai aur tehra din baad uska karmanusaar naya janam ho gaya. Ab to kewal uskee atma kee shanti ke liye ved mantron se Yajyen hee kiya ja sakta hai aur kuch bhi nahin.