Rashmi: Dear pujya Guruji, Charan sparsh and pranaam, Guru ji can you please tell me about Chandrayan and krichu, how it is done and at what stage in yoga with procedure. Guru ji further can be meaning of astaayjaaahuti mantras, sawastivaachan, Pornmaasi and amavasya mantras mantras.
Swami Ram Swarup: My blessings to you all, my daughter. Krichchra means to bear all kinds of sufferings which come while doing worship like Yajyen, name jaap and yogabhyas etc. Suppose, a person starts doing Yajyen first time i.e., in the beginning then naturally some problems will occur. At that time, the aspirant must overcome the problems and he should not discontinue his Yajyen, name jaap or Yogabhyas etc., he should first take vrat (firm decision/resolution) to bear the sufferings continuously for twelve days. This is called Krichchra. Chandrayann means to take oath i.e., vrat i.e., firm decision/resolution to continue his said worship for one month. So, when an aspirant will take vrat of twelve days (krichchra) and one month (chandrayann) then slowly and steadily, he will be able to continue his worship forever. So, the aspirant must happily face the sufferings.
Agharajyaahuti
Aghra means heated, aajya means ghee. So the aahuti which is given from heated ghee is called agharaajyahuti.
The book is in process of completion wherein all the meanings of Swastivaachan, Poornmasi and Amavasya mantras shall be given. It shall be sent immediately after its publication. Y
prerna: pranaam swamiji …….. kehte hai ki jodiyan upar se bankar aati hai ,, bhagwaan jodiyan banate upar hai aur milaate dharti par hai ….. toh kya ye sach hai ? toh kya jeevan saathi pehle se hi decided hota hai ? jiske saath shaadi honi likhi hai usi ke saath hokar rahegi , chahe kuch bi ho jaaye? sab kuch pehle se hi nirdhaarit hota hai kya ? aur jeevan saathi accha hoga ya bura yeh bi kya humare pichle janam ke karmo par depend hai ? aur kayi ladkiyaan accha jeevansaathi paane ke liye bhagwaan ji ki puja karti hai , mandir mein jaati hai , upay karti hai ki hume accha var mile ,, but agar sab kuch pehle se hi decided hai toh iska matlab ye sab karna bekaar hai kyuki humara jeevan saathi toh pehle se hi bhagwaan decide kar chuke hai ….
Swami Ram Swarup: My blessings to you, my daughter. Yeh zaroori nahin ki jeevan sathi pahle se hi decided hota ho. Jab tak usmein spiritualism involved na ho. Prarbdh mein jo likha hota hai usey insaan is jeevan ke tap ke dwara badal sakta hai. Bhaav yeh hai ki agar bura jeevan sathi milna hoga tab sadhna ke prabhaav se weh sathi badal jayega.
Mandir ityadi mein jakar prarthna karne ka phal kya deta hai , iskey vishye mein to main kuch nahin keh sakta lakin satya Ved vakya hain— Brahamcharyein kanya vindate patim”
i.e., Brahamcharya rakhne wali kanya ko achcha pati prarpt hota hai.
Anonymous: Respected Swami Ji, Mai apne jivan se bahut preshan hu muje samaj nahi ki kaya karu jab shadi hui to mere husband koi kam nahi karte the aur din rat sharab pite the ab b wahi hal hai maine sari umar nokri ke aur apna jiwan chalya ab meri beti ke shadi hui to wah b waha adjust nahi ho pai man bahut preshan hai kaya kare.
Swami Ram Swarup: Meri beti yeh sab hamare khud ke kiye hue pichlekarmon kaphal hai jo hamain yahan bhogna padta hai par aisa nahin ki yeh zaroori bhogna padta hai. Agar hum thodi si hi mehnat karke vedon ke gyan ko thoda sa hi apna lain to kismet ka likha dukh khatam kiya ja sakta hai isliye mein yeh advise karoonga ki aapko abhi se Gayatri mantra ka dono time jaap karna chahiye aur Gayatri mantra se hi rozana dono time aahuti dalni chahiye . aap nazdeek ke arya samaj mandir mein jaakar yeh sab kuch seekh sakte hein. Mein door hoon aapko nahin sikha sakta. Han , yadi aap agar apna postal address bhejoge to kuch vedic dharmik kitabein free mein zaroor bhej doonga jisey padkar aapko shanti aayegi. Aap ka dukh sun kar mujhe bahut dukh hua hai, bhagwan aap par zarror kirpa kare, meri prarthna hai. Tumhein aur tumhari beti ko mera ashirwad.