Joydev: Swami Ji Pranam.Kasie Atma Aur Parmatma Ka Anuvab Hoga?
Swami Ram Swarup: My blessings to you. Manushya ke shareer mein rehne walee atma(jeevatma) ek chetan tatva hai aur isee atma mein Parmatma bhi niwas karta hai. Hamein yeh gyan hona chahiye ki hum atma hain, shareer nahin hain. Atma ka gyan aur atma ke andar niwas karne wale chetan Parmatma ka gyan prapt karne ke liye, ved evam yog vidya ke gyata kisi vidwann kee sharann mein jaakar ussey ved vidya sunnee chahiye jo ki ek tap hai, doosra weh vidwaan nitya ved mantron se Yajyen karna, Ishwar ke naam ka jaap karna sekhaayega, to weh roz karna chahiye.

Teesra jo zaroori hai weh us vidwan se Ashatng Yog vidya seekh kar uska rozana subah-sham abhyas karna chahiye. Patanjali Rishi ne Yog Shastra Sutra1/3 mein kaha ki tab jeev ek din Samadhi avastha ko prapt karke apne swaroop atma ka anubhav karta hai aur atma mein hee Parmatma ka darshan karta hai. Hamare sabhi puratan Rishi-muni, ek mat hokar yeh keh gaye hain ki iske atirikt aur koi anya marg nahin hai.

Mithlesh: How to do udhyapan of solah sombaar Fast? Please tell me.
Swami Ram Swarup: Fast matter does not exist in Vedas. So, I’m unable to comment on it.