Deep: Pranam swamiji. Aapke charno me mera koti koti naman. Apko navaratri ki hardik subh kamnai, ishwar apko sadev healthy rakkhe. Guruji mai aapse marriage customs bare me janna chahatu. Guruji mai humare country ke marriage rituals ko study kar raha tha take website pe article likh saku, isi process me mujhe pata chala k humare desh k marriage rituals Jo hai WO to different community k different hai hi, uske alava v humare desh k marriage customes me v humara desh mainly 2 parts me divided hai, north Indian and south indian . north India me cousin marriage prohibited hai, while south India me ye common practice hai, although waha cross cousin marriage hoti hai parallel cousin prohibited hai. Isi k bare search karte hue ek term k bare me mujhe pata chala , ” SAPINDA “. Maine Dekha ki north India me sapinda me apne Vai behen aur sare cousins include hote hai, chahe WO parallel ho ya cross cousins, whereas south me sapinda sirf apna Vai behen aur parallel cousins I.e., Masi k aur chacha k Jo bacche hote hai unhe hi sapinda mante hai, magar mama k ya bua k children ko sapinda me consider nahi kiya jata , unme marriage allowed hai. Guruji mera prashna hai ki…..
1) guruji ye sristi to ishwar ki rachna hai aur yaha ka har niyam v 1 hi hona chahiye, WO v according to Vedas only, magar Fir v humare desh me itna variation kyun hai? Ye kaha se utpanna hua?
2) guruji SAPINDA hota kya hai, iska kya MATLAB hai? Kya ye vedic term hai ? Iska origin kya hai?
3) guruji kya cousin marriage allowed hai Vedas me, parallel ya cross kisi v Tara ka cousin marriage? If not then iska MATLAB hoga k south me 1 galat custom follow hota hai.. Please gurudeb reference Di jiyega take mai WO v apne reference k liye use kar saku.
4) guruji bohot jagah me shri Krishna ka reference diya ja raha hai k unhone v cousin marriage allowed kiya tha , mata subhadra aur shri arjun ka.
Guruji shri Krishna maharaja to yogeshwar hai to unhone ye marriage allow kyun kiya agar aise marriages anti vedic hai to? guruji Kya mata subhadra aur Shri arjun direct cousins nahi the?
5) guruji Maine ek aur cheez pe nazar pari, k according to manusmriti marriage 6 generation apart hona chahiye, mujhe ye 6 generation samajh nahi aaya, 6 generation MATLAB kya bola gaya hai? Please mujhe ye 6 generation ki bare me knowledge de, k ye kaise calculate hota hai, to bohot kripa hogi guruji.
Guruji mai janta hu k Maine bohot sare sawal kiye hai, iske liye apse shama chahata hu, magar mai apse vedic view k according satya janke apna marg darshan pana chahata hu. Kripaya gurudev mujhe reference v dijiye ga.

Agar mere wajah se apko pareshani hui ho to naraz mat hoyiega guruji, shama kijiye ga . kripaya mera marg darshan kare aur asirwad de ki mai apne jiwan me apne kartavyo ka nishtha se fulfil kar saku.

Mera apko firse naman. Jai Guru Dev..
Swami Ram Swarup: My blessings to you, my son. Thank you, beta.

(1) Aapka bahut achchha aur satya vichar hai, beta ki prithivi Ishwar kee rachee hui hai aur weh hum sabka swami hai atah agya to Ishwar kee hee maannee chahiye. Yeh baat Charon vedon mein kahee gayee hai aur is sambandh mein aap yeh samjhein ki Ishwar se nikle char ved Ishwar ka sampoornna prithivi par banaya ek samvidhan hai jo poornna roop se prithivi ke sabhi pranniyon par laagu hota hai. Isee vishay mein vivah sanskar bhi vedon mein Ishwar kee dee hui agya hai jiska hamein paalan karna chahiye. Apnee marzi chalana ek paap karma hai.

(2) Sapinda Vedic term nahin hai par ved ke anusar hai kyunki ved bhi blood relations mein vivah karne kee agya nahi dete aur aap internet se sixteen sanskar ka adhyayan karein. Ismein payeinge ki vivah ek sanskaar hai aur kewal ved mantron dwara kiya jaata hai. Parantu dukh hai ki aaj manushya prayaha vedon ke virudh chal pada hai, jis karann hamare desh mein shanti nahin hai.

(3) Vedon mein cousin marriage allowed nahi hai. (Rigved mantra 10/85/21 refers)

(4) Nahin Arjun aur Subhadra cousins nahin they, blood relation mein nahin thei. Kyunki Kunti kshatrayi vansh se aur Vasudev aur Shri Krishna Maharaj Yadav vansh se they.

(5) Yahi satya hai ki marriage six generation apart honee chahiye. Six generations ka matlab hai ki gotra/vansh six peediyon tak ke chhode jaate hain.

Aap jitne marzi chahein sawaal karne ke adhikari ho, ismein kshma yaachna kee koi baat hee nahi hai, mera tumhein bahut bahut ashirwad. Main abhi busy hoon. Yadi prashan ka koi uttar samajh nahin aaya to aap dobara bhej sakte hain.