Jayesh: Nijanand Sapraday ke shri pran nath swami ne kabhi gayatri diksha li thi? If yes, when and where and who was his guru?
Swami Ram Swarup: Kshma karein, mujhe is vishay mein kuchh nahin maaloom.

Vishal: Main business me bhi safal nahi ho raha Hu .or meri sadi bhi nahi ho parahi he. Please upay bataiye.
Swami Ram Swarup: Mangalik, vastu shastra, kaal sarp yog, pitra dosh, tantrikism, navgrah poojan ityadi vishay vedon mein nahi hai, isliye apramannik evam asatya hone ke karann vidwan log isey nahin maante. Achchha hai aap bhi yadi in buraiyon ko na maanein aur aage badein.

Dave: Swamiji pranaam , swamiji how are you? I just wanted to ask you that swamiji what is you’re interpretation method for understanding ved mantras? Do you use the aarsh method? or else which method do you use?
Swami Ram Swarup: Mera aapko ashirwad. There is only one method right from the beginning of the earth that one should make contact and serve the learned acharya of Vedas and Ashtang Yog Philosophy to follow Vedic path. It is a tradition.