Anupam: गुरुजी सादर प्रणाम।गुरुजी श्रीकृष्ण जी वेदज्ञानी व योगाभ्यासी थे समाधिस्त पुरुष थे व उनको ईश्वर अनुभूति हुई थी पर वे राजा थे आचार्य नही थे ।अर्जुन को उन्होंने युद्धभूमि मैं ज्ञान दिया था तो वे ईश्वर नही थे पर समाधिस्त होने पर उनमे ईश्वर प्रगट थे तो क्या उन्हें ईश्वर मानकर पूजना प्रासंगिक है।उन्होंने अर्जुन को दिखाया कि किस प्रकार सारा विश्व उनमे यानी ईश्वर मैं समय हुआ है क्या ओर कोई समाधिस्त पुरुष भी किसी को अपने द्वारा इस तरह की अनुभूति करवा सकता है कि किस तरह ब्रह्मांड ईश्वर मैं समाया है?यदि नही तो क्या उनमे कुछ विशेष था व उस आधार पर वे आज पूजे जाने चाहिए।
Swami Ram Swarup: Jab ek sadhak ved marg par chalkar apne vedic guru ke sanrakshann mein rehkar vedic sadhna karta hai aur Samadhi prapt karta hai jaise ki Shri Krishna Maharaj ne kee tab weh Atharvaved mantra 4/11/7 ke anusar Ishwar ko realise karke Ishwar ke samaan hota hai parantu Ishwar nahi. Jaise koi kahe ki yeh buzurg mere pita ke samaan hai, aisa kehne par weh buzurg kehne wale ka pita nahi ban jaata pita ke samaan rehta hai. Rigved mein kaha hai ki jinda vedic guru chahiye to jab tak Shri Krishna maharaj rahe, weh samaj ko shiksha dete rahe. Shareer tyagane ke baad koi bhi acharya shiksha nahi de sakta. Han! Vedon ne kaha ki vedic acharya jisne jeevit avastha mein shishyon ko shiksha dee hai, weh kewal panch janamon tak apne shishyon ko prernna deta rehta hai. Shri Krishna maharaj ne jis nirakar sarvavyapak , srishti rachne wale, paalne wale Parmeshwar kee vedanusaar Pooja kee usee tarah hum Parmeshwar kee Pooja karein, kisi anya kee nahi, yeh baat vedon mein theek-theek tarah se samjhai gai hai. Jaise Atharvaved mein kaha “Yatha brahamande tatha pinde” jaisa Parmeshwar brahmand mein, kann-ann mein samaya hai, wahee Parmeshwar hamare shareer mein, sab Jeevon ke shareer mein bhi nivas karta hai parantu prakriti ke gunno maya kaam, krodh, mad lobh ahankar aadi avgunn ke parde mein chhipa hua hai, prakat kewal yogiyon ke hriday mein hee hota hai. Atah Arjun ko ved ka gyan dekar yahee baatein samjhai thee ki hey! Arjun jaise Ishwar sampoornna bhahmand mein hai wahee Ishwar mere shareer mein bhi prakat hai, mere shareer mein chhipa hua nahi hai. Aapke paas mere dwara vyakhya kee hui Bhagwad Geeta hai, usmein bhi yeh uttar vistaar se dekh sakte ho.