Dr. Hareesh: Sir interest (sood) k bare mein humara dharma kiya kahta hia? Please reference de k bataen humare dharma mein kiya likha hia is k bare mein.
Swami Ram Swarup: Manusmriti aur Atharvaved mein sood leiney kee aagya dee hai lekin woh sood bahut kum lene ko kaha hai. Abhi mujhe samay nahin, phir main aapko sood leney kee detail bhejoonga. Meanwhile, I paste my following article as under:

Interest on money

Vedas as well as Manusmriti tells to take reasonable interest as per business requirement to live upon. To take the interest on money is the profession of a businessman (Vaishya) (Manusmriti shloka 1/90). This liberty is not applicable for others i.e., Brahmin, Kshatriya, etc.

Sagar: Jai shri krishna swami ji…kya shaadi vivah ki jodiyan …ishwar phle se decide krta hai..? yaa hm apni ichaa se? Gunwaan hone aur ache karm krne se…kya buri kismat ko bdla jaa skta hai?
Swami Ram Swarup: Namasteji. Ishwar ne hamein kriyamaan karma karne ke liye azaad kiya hai. Jo bhi sadhak ved marg par chalkar shubh kriyamaan karma karta hai to weh apna prarabdh badal sakta hai, aisa Ishwar ne vedon mein niyam banaya hai. Isliye Brahmacharya aadi shubh karma karke hum gunnvaan pati athwa gunnvaan patni apnee ichchha anusaar select kar sakte hain. Jaise Atharvaved mein kaha- Brahmacharyaein kanya vindate patim” arthat Brahmacharya dharann karne wali, shubh karma karne wali kanya gunnvaan, vidwan, buddhimaan pati ko prapt kartee hai aur yahi niyam purush par lagoo hota hai. Han! Gunnvaan hone se aur Vedic shubh karma karne se buree kismat ko badal kar bright future ka nirmaan kiya jaa sakta hai.