K: Namaskar!! Kya pregnant lady satyanarayan Pooja main baith sakti hai apne Pati ke sath?
Swami Ram Swarup: Namaste beti. Satyanarayan Pooja mein pregnant lady baith saktee hai parantu yeh Pooja vedon mein varnit na hone ke karann vidwanon dwara sweekarit nahi hai parantu yadi aapkee ichchaa hai toh aap yeh Pooja kar sakte hain.
Sudeep: Gurujee Pranaam, Kya Vedon main Mata ke baare main kuch mentioned hai.Kuch logon ne tow unki Shakti mehsoos ki hai. Iske baare main Ved kya kehta hai.
Swami Ram Swarup: Mera aapko ashirwad. Vedon mein kewal ek Nirakaar, Sarvavyapak, Sarvashaktimaan Parmeshwar jisne yeh duniya rachee aur ab duniya kee paalna kar raha hai, us Parmeshwar kee bhakti ka updesh hai. Iske atirikta na koi Parmeshwar tha, na hai aur na hoga. Vedon mein kisi devi-devta kee bhakti ka bhi updesh nahi hai.
Sudeep: Gurujee, Saadar Pranaam, Jo mahsoos karte hain parantu dikhta nahin hain, kya unka aabhaar vyakt nahin kar sakte, jaise ki maa ki shakti kaa mahsoos hona. Dhanyavaad Gurujee
Swami Ram Swarup: Ashirwad, beta. Jo janam dene walee mata hai aur paalan-poshan karne wala pita hai, unkee sewa karke unka karz uttarne kee baat ved kehta hai anya kisi maa athwa uskee Shakti ka varnnan vedon mein nahi hai.