VJ: महाराज जी प्रणाम महाराज जी आप कैसे हैं। महाराज जिमें ये पूछना चाहता हूँ कि आप कहते हैं कि वेदों में कृषि के बारे में बताया गया है।महाराज जी आज के युग में खेती घाटे का सौदा हो गया है जबकि भारत में तो आज भी कृषि मुख्य रोजगार है खासतौर पर ग्रामीण भारत में तो है ही। महाराज जी क्या वेदों में कृषि के हालात सुधारने का और किसान की स्थिति बदलने का कोई मार्ग है क्या ।कितनी भी मेहनत करो या कितनी भी अच्छी फसल उगा लो अंत में ढाक के तीन पात वाली कहावत ही सार्थक होती है इतनी बीमारियां की फसल काटने ,काटने तक दवाइयां डालनी पड़ती हैं बंदर अलग नुकसान करते हैं जैसे तैसे फसल मंडी ले जायें बेचने के लिए तो सरकार के नियम और रेट ऐसे हैं कि घाटा तय है आखिर क्या किया जाये । महाराज जी आप योगेश्वर हैं आप हम किसानों की दशा और दिशा बदल सकते हैं कृपया हमें सम्पनता देकर हमारी स्थिति बदल दीजिये । जबसे मेरा पुत्र हुआ है तबसे मैं दोनों समय वेद मंत्रों की आहुतियां और 24 आहुतियां गायत्री मंत्र की डाल कर हवन करता हूँ सुबह उषाकाल में उठकर। महाराज जी मेहनत में कोई कमी नहीं करते हैं मम्मी तो सुबह 3,30 बजे उठकर गौशाला चली जाती हैं फिर भी हम कोई भी काम करैं तो काम तो बन जाता है लेकिन किसी का 9 मैं बनता है तो हमारा 100 मैं बनता बनता है इसका कारण भी है कि दूसरा उसको समय पर कर लेता है और हम धनहीनता के कारण समय जाने के बाद। महाराज जी मैं अपने आध्यात्मिक पिताजी से एक ही प्रार्थना करता हूँ की मेरी गरीबी दूर कर दीजिए क़र्ज़ मुक्त कर दीजिए और धनवान बना दीजिये। महाराज जी प्रभु जी से भी प्रार्थना दोनों समय कर रहा हूँ पर उनसे सीधे जवाब मिलना हमारे लिए संभव नहीं है इसलिए अपने गुरु से प्रार्थना कर रहा हूँ । महाराज जी किसानों की स्थिति सुधारने का मार्ग प्रसस्त कीजिये । महाराज जी हवन की राख खेतों में डाल सकते है?
Swami Ram Swarup: My blessings to you. Han! Beta ved mein har Vishay ka gyan diya gaya hai aur isliye khetee ka Vishay bhi achhoota nahi hai. Lekin jaise aap bhi likh rahe hain ab khetee kee maryada bhang see ho gayee hai kyunki khetee ka to vishay vedon mein hai aur ved log sunte nahi isliye jo-jo shiksha vedon ne khetee ke vishay mein kahee hai, log us shiksha ko nahi jaante.

Shiksha hee nahi, log to Ishwar ko bhi nahi jaante ki vastav mein Ishwar kisko kehte hain kyunki Ishwar ka nirakar, avinashi, sarvavyapak roop aur anant gunn to kewal vedon mein hain. Ved na sunne se prayah log Ishwar ke vishay mein bhi nahi jaante aur yahee samasya hai jis karann sampoornna prithivi kee janta dukhi hai. Vedic niyam na jaanne aur na nibhane ke karann hee to khetee ka pavitra karya ghate ka sauda ho gaya hai. Khetee to Jeevan datree hai.

Paise aur Vishay-vikaron mein gum janta ab khetee aur gau sewa kee taraf dhyan nahi de rahee. Khetee sudharne aur krishak kee sthiti sudharne ka bhav hee yahee hai ki Sarkar ghar-ghar vedic shiksha de aur vedanusar khetee kee jaye to sudhar to apne aap hee ho jayega. Manushya par aai beemariyan athwa pashu-pakshi aur khetee par aai beemariyon ka ek hee karann hai jo Charon vedon mein kaha hee hai parantu Bhagwad Geeta shloka 3/15,16 aadi mein bhi kaha hai ki hey Arjun! Paushtik aahar to achchhee khetee-badi se hee prapt hota hai aur achchhee khetee tab hotee hai jub samay par shuddh varsha ho. Aur hey Arjun! Shuddh varsha yajyen karne ka hee phal hai. Yadi shuddh varsha nahi hogee to achchhee phasal bhi nahi hogee.

Jub achchhee phasal nahi hogee to janta ka swasthya bhi achchha nahi hoga aur shuddh varsha na hone se beemareeyan bhi phaileingee phir mandi aadi ke niyam bhi to ved na janne ke karann daya-dharam aadi se pare hain aur achchhee phasal prapt karna kisanon athwa janta kee buree dasha badal kar achchhee dasha banane ka karya bhi to vedon mein sarkaar par mantriganno par hee to saunpa hai. Prantu jab mantrigann hee ved vidya ke gyata nahi hain to phir yeh desh kee khetee, kisanon athwa desh kee dash kaise sudhar sakte hain? arthat nahi sudhar sakte hain. Videshon mein kisanon kee aarthik avastha to kahin kahin bahut achchhe hai parantu mansik air shareerik avastha theek ho aisa kuchh nahi hai. Doosra videshee phasalon mein bhi shuddhta kee kamee hai isliye videshon mein bhi apradh aur beemariyon kee bharmaar hai aur khetee mein videshi kitannu nashak aur dawai aadi chhidakte hain jiska prahav manushya ke bhojan par padta hai.

Aapne bandron kee baat kahee sabhi jaante hain ki kisan bandaron se pareshan hain aur aam rahgeeron ko bhi bandar kaat lete hain. Maine to apne kheton mein makki beejna hee band kar diya kyunki bandar phasal barbaad kar dete thei. Mera likhne ka bhav yeh hai ki vedon mein Raja ko- Sarkar ko agya hai ki weh kisanon kee phasal ko hinsak pashuon, neelgay, bandaron aadi se bachaye aur weh raja ved ka gyata hone ke karann janta kee sewa karte thei aur kisanon ke rakshak thei, weh phasalon kee raksha karte thei.

Aapkee mehnat ek din avashya rang laayegee, yeh rozana ka kiya hawan aapko sukh, dhan, ann avashya pradan karega aur hawan kee rakh kheton mein dalnee chahiye. Doosra jab nayee phasal ugane ka samay aaye to khet mein baithkar pehle hawan karo, yeh ved kee agya hai. Phir khet jab beej bone ke liye tayyar ho jaata hai tab khet ke kinare arthat khet ke baahar, khet ke kinare sab parivaar baithkar hawan kare ya jo bhi aaye usey prem se bithayein. Jab poornnahuti ho jaaye to ek kapde mein ek-dedh kilo beej hawan ke dhuain ke upar se ghumayein arthat beejon ko hawan ka dhuwan dein aur woh beej boyein. Isee tarah dheere dheere sab beej thode thode karke dhuain ke upar se le jaakar bote jaayen to phasal bahut achchee utpann hotee hai.

Mera aapko ashirwad.

MeiKam: Dear Guruji, it’s said that we should keep constant contact with a learned Acharya for spirituality. How often should we go to You? Thanks!
Swami Ram Swarup: Blessings beti. It depends on your circumstances in these days. Otherwise, if we talk about ancient times, people used to make contact with learned Acharya at the earliest.