Satish: Rigved in English.
Swami Ram Swarup: In this connection, please make contact with M/S Vijay Kumar Hassanand, Nai Sadak, Delhi-110006.
The website of M/S Vijay Kumar Hassanand is –
www.vedicbooks.com
Student: Pranam Swami .. ji.., Many great scholars of Vedas like Agniveer are saying that Lokaishna Vittaishna and Putraishna Tyag is not mentioned in Vedas. I am very curious about that mantra that specifically state that we should leave these three Aishnas. i am begging you for that Ved Mantras. please provide word to word meaning so that i can debate with them. Please provide this from actual vedas only.
Swami Ram Swarup: The meaning of ved is knowledge so in Vedas knowledge exist, not any history names like Yajurved mantra 40/2 states that nothing is to be left except by following ved mantras. The pious deeds are to be done. Tyag is for sins or bad deeds. I am out of station, so detailed matter can not be mentioned here. You can put this question in the last week of December, 2014.
Shyam: Maharaj ji ke charno me Shashtang Dandwat Pranam. Maharaj ji maine laghbagh 5 month se brahmcharya asan aur nadisodan(kumbhak) pranayam aur karna suru kar diya hai. Maharaj ji main subaha aur sham hawan karke 40-50min asan pranayam karta hun aur hawan siddhasan me baith kar karta hun. Maharaj ji main is prakar asan pranayam kar raha hun. Agar main galat kar raha hun to kirpaya mera marg darshan kare. Sabse pahle main apako pranam karte hue 5-8min brahmcharya asan me iswar naam jaap, uske bad pashmiuttasan 3-4min, uske bad padmasan me baith kar 8-10 min
anlome-vilome pranayam karta hun aur 8-10min nadisodan pranayam kartu hun, uske bad phir pashmiuttasan 3-4min, uske bad 15-20min siddhasan me iswar naam jaap aur dhyan karta hun. (details provided).
Swami Ram Swarup: Aap Ishwar kirpa se bahut achhi Ishwar pooja kar rahe hain kunki Roj ved mantron se havan, Brahmacharya dharann karna aur asan, prannaym, yeh ved mein kaha hai. Ishwar kee yeh best upasana hai. Brahmacharya asan bhi aapke liye uttam asan hai. Aapko bahut laabh hoga. Mera aapko bahut-bahut ashirwad. Ye bhi mujhe batao ki yeh sab karna kisi Acharya se seekha hai ya nahi, matlab kisi Acharya se nahi seekha to yahi sub kuch Acharya se zaroor seekho.