M B: गुरुजी,चरण स्पर्शl

1. क्या दूसरे ग्रहों पर जीवनयापन की आज्ञा वेद मे है?

2. क्या दूसरे ग्रहों पर जीवन सम्भव है?

3.यदि दूसरे ग्रहों पर मनुष्य रहते हो तो वे आकार – रुप – रंग मे पृथ्वीवासियों के समान है?

4. क्या दूसरे ग्रहों पर वेदों का ज्ञान है?

5. वहाँ पर वेद किस भाषा मे है?

6. मैं 12th Biology- science का विद्यार्थी हूँ , मेरे विद्यालय मे सहशिक्षा है , क्या कक्षा और विद्यालय मे बहनों के साथ , आस – पास रहते हुए भी ब्रह्मचर्य का पालन किया जा सकता है?

7. मैं अपने नेत्रों की स्थिति ऐसी बना लेता हूँ की कोई भी बहन या महिला सामने या आसपास हो तो वह मुझे सुस्पष्ट नही दिखाई देती बल्कि उसकी धुंधली छवि दिखती है , क्या ब्रह्मचर्य पालन हेतु यह सही है?

8. मेरे माता – पिता मेरे साथ बचपन से अब तक दुर्व्यवहार , गाली – गलौच , पिटाई करते आये है , इसका क्या कारण है?

9. मैने अपनी पढाई के दौरान यह पाया की क्लास के टॉपर और होशियार बच्चे भी बुरी आदतों मे लिप्त है जैसे गंदी बातचीत करना , गंदी फिल्में देखना , ऐसा कैसे , वो पढाई मे आगे कैसे रहते है , जबकी इन बुरी आदतों से तो उनका ब्रह्मचर्यपालन न होता होगा?
Swami Ram Swarup: 1) Doosre grehon mein Jeevan yapan ka updesh vedon mein hai.

2) Jaisa upar kaha, Jeevan hai.

3) Aapke is prashan ka uttar nahi diya ja sakta kyunki iska uttar yogi kai janmon kee sadhna ke pashchaat swayum anubhaav karte hain aur aise uttar dene kee ved mein agya nahi hai.

Aapko swayum vedadhyayan, kathin yogabhyaas etc. karke iska uttar prapt karna chahiye.

4) Ved ke bina to kuchh bhi nahi hai. Sab jagah Ishwar hai to aapko samajh lena chahiye ki Ishwar ke saath hee ved hai aur ved ke akshar aakash (space) mein har samay sthit hain.

5) Ved bhasha unchangeable hai.

6) Brahmacharya ka paalan har sthan aur har sthiti mein hee kiya jaata hai. Shrupnakha ke aane par bhi Sri Ram aur Laxmanji ne Brahmacharya ko sthir rakha.

7) Yeh achcha abhyaas hai, beta.

8) Yeh aapke pichchley janmon ke burey karmon ka phal hee hai ki aapke mata-pita aapse durvyavhaar karte hain athwa aisa to nahi ki aap unkee uttam sewa nahi kar paatey. Yeh aapko check karna chahiye. Han! Yeh avashya jaan lein ki kisi bhi sthiti mein mata-pita ka niraadar nahi kiya ja sakta, tyaag kiya ja sakta hai.

9) Padai ek bhautikwaad hai aur Brahmacharya rakhna vedic adhyaatmikwad hai. Dono ek doosre se alag-alag hai. Bhautikwaad indriyon ka vishaye hai isliye bachche lobh-lalach dwara bhautikwaad mein unnati karte hain ki unche-unche pad payengey ityadi, aur aisa karna avashyak bhi hai. han! Yeh satya hai ki yadi bhautikwaad kee tarakki karte-2, saath-2 adhyaatmikwaad mein bhi padaarpan nahi karte to unka Jeevan vyarth, dukhi avam naashvaan ban jaata hai kyunki adhyaatmikwaad, vedic Ishwar bhakti ke bina unche-2 pad paakar ya dhan paakar bhi koi sukhi nahi reh sakta. Isliye bhautik aur adhyaatmik, dono unnati saath-2 karna vedon kee aagya hai.