Ashok: Swami ji namastay swami ji kuchh log “bhagwan” sabd ko agni, jal, vayu, prathavi, evam aakash ka short roop mante hain jaise bha se bhoomi, ga se gagan, va se vayu, aa se agni, na se neer kya ye sahi hain?
Swami Ram Swarup: Namasteji. Yeh sansar Ishwar ka banaya hua hai isliye yahan vedon mein banaye Ishwar ke niyam hee lagoo hote hain jo pramannik hote hain. Manushya ki buddhi se nikale niyam nahi mane jaate kyunki yeh apramannik hote hain. Isliye jo kuchh log Bhagwan shabd ka arth kar rahein hain weh galat hai. Ved mein Bhagwan shabd ka arth hai Bhag+wan= Bhagwan. Yahan Bhag ka arth hai aishwarya yukt arthat jismein anant saamarthya, anant aishwarya hai aur wan ka arth hai wala. To Bhagwan ka arth hai anant saamarthya, anant aishwarya wala arthat jisme anant shakti -samarthya hai, anant aishwarya hai Weh Parmeshwar hai, Weh Bhagwan hai, uske vedon mein gunon par adharit anant naam kahe gaye hain.
Anonymous: Parnam guru ji. Mera sawal ye hai, kya hawan krne se sari manokamnaye purn ho jati hai?
Swami Ram Swarup: My blessings to you. Yajyen/hawan ko yadi vidhipoorvak kiya jaye tab vedanusar kewal kalyannkari, shubh aur paropkari kaamnayein hee poornna hotee hain.