R: St st prnam guruji, A lady in our home who daily perform havan morning and evening n regularly in touch with ashram. Per unke acharan mein koi bhi antr nhi hai un sb logon se bhi bura haal hai jo ved nhi sunte or agnihotr nhi kerte. ghr mein iss vjah se twenty four hours ashaanti hee rehti hai or iss sb se mein bhut preshan rehta hun.Agr unko ghar ke vjurg ya parents koi samjhdari ki baat kahein jaise subah jaldi uthna, ya koi jada waistage bhojan ki etc. To ulta unki koi baat nhi sunani. Or hr tarah se apmaan kerna. Kuch aise jvab dene jo mein yhaan likh bhi nhi sakta.in sb baton se parents bhut dukhi rehte hain,ek vhoo se kbhi unhone aisa behave socha bhi na hoga.Is baat pr aap unka margdarshan karein or mujhe lagta hai aap hi ke marg darshan se sayad wo samjh sakte hai, nhi to jo log agnihotra, ved vidya bhi ni sunte wo jada ache hain agr parents ko samjhte ho or sab badon ka aadar bhi karte hain.
Swami Ram Swarup: My blessings to you. Main yahaan hamesha yahi vedon se shiksha deta hoon ki mata-pita, gurujanon kee sewa, buzurgon kee sewa aur meetha bolna chahiye. Kaam, krodh, lobh, ahankar aadi par poora control karna chahiye. Yahee sachchaa Yajyen hai. Tab hee Yajyen mein daali hue aahutiyan sukh detee hain. Parantu pratyek insaan yahaan pichhley janamon ke achhey-burey karma bhogbne aaya hai. Isliye un karmon ko hum sab shantipoorvak bhogein aur shiksha bhi lete rahein, un Vedic shikshaon ko Jeevan mein dharann karein aur havan/Yajyen se pichhle janamon ke karmon ko nasht karke, dukhon ka bhi naash karein, yahi ved kee shiksha hai. Ab jo shiksha par na chale woh theek nahi.

Savita: Pranam pandit ji mai DHANBAD ki rehne wali hu mujhe janna hai ki mata sati ne bhagwan shiv ko pati rup mein pane ke liye Jo nanda vrat ki wo vrat kab or kaise kiya jaata hai puja mein kya samagri kya h or kitne dino tak beat rakhna h kripya kar ke mujhe bistaar se bataye.
Swami Ram Swarup: My blessings to you, my daughter. Beti, jo aapney prashann kiya hai woh purannon se related hai. Puraan zyadatar ved ke gyan ke virudh hain. vedon mein vrat rakhne ka koi vidhaan nahin hai. vedon mein yeh kaha hai- “Brahmacharya Kanya Yuvan Vindate Patim “ arthat Brahmacharya dharann karne se kanya ko gunnvaan aur buddhimaan pati prapt hota hai. Isliye main vrat ke baare mein koi comments nahi kar sakta.