V: Pranam guru maharaj main jab bhi raat ko meditation karta hu toh thodi der mein hi saaara dhyan tut jaata hai kyunki mujhe andhere se darr lagta hai jis room mein main hota hu waha aur koi nai hota hai isliye daarr lagta hai main meditation karna chahta hu par yeh darr kaise nikalu apne ander se kripya karke mere prashan ka uttar dijaiyein aur iska samadhan nikaliyein
Swami Ram Swarup: My blessings to you.

Har insaan ko rozaana dhyan mein baithna chahiye lekin dhyan mein baithne ka tareeka kisi vidwaan acharya jo ved aur yog vidya ka gyata ho ussey seekh kar dhyan lagaana chahiye. Dhyan lagaane se pahle yam, niyam, asan, prannayam aadi yog vidya ke ang seekhne chahiye.shuru-shuru mein dhyan kisi ka nahin lagta, upar kahe guruji ki dekh rekh mein dhyan lagaate rehna chahiye. Ek na ek din dhyan lagne lag jaata hai. Isliye agar dhyan shuru-shuru mein nahin lagta, toot jaate hai ya andherey aadi se dar lagta hai to in baton ki bilkul bhi chinta nahin karnee chahiye. Guru ke dwara baataye rozana ke abhyas aur ved shastron ka sunna aur vairagya ke gunn prakat karne se phoran dhyan lagta hai varnna nahin lagta. Jigyaasu ke liye dhyan lagaana kuchch samay bad aasan ho jaata hai kyunki weh dhyan ke vishye mein apne guru se seekhta rehta hai aur sachey pravachan sunta rehta hai aur kabhi himmat nahin haarta parantu aam aadmi ke liye dhyan lagana bahut kathin hai kyunki woh adhiktar alasya, moh, mamta aadi mein phasey rehta ha.

Jab tumhein paata hee hai ki kamrein mein tumharey ilawa doosra koi nahin hota tab to tumehey khud hee bahaduree ke sath apne dar ko khatam kar deina chahiye. Ismein sahas aur lagan ki zaroorat hai.

Kyunki andherey ka dar psychological aur pichley janam ka koi sanskar ho sakta hai varna aapko bhi pataa hai ki aap kamrein mein akeley hee hotey ho rozana sadhna dwara hee is dar ka nash hoga.

Manish: Why is Indra still a god despite what he did with Ahalya, the wife of Gautam rishi?
Swami Ram Swarup: Indra which met Ahilya is not God. He was an alive person at that time. His name was Indra. Nowadays there are several people who have their name as Indra. God is formless and ever away from impurity and never takes birth.

CTB: Please send me Vedas a Divine Light Part III and Sandhya mantra
Swami Ram Swarup: Books are being sent to you.