Rupali: “I had no shoes and complained,until i met an individual who had no feet.”What is the philosophical significance in this statement?
Swami Ram Swarup: Poverty, richness, happiness as well as sorrows etc., are based on the result of previous lives good and bad deeds which are to be faced in the shape of happiness and sorrows respectively.

So, we must always remember God Who awards the result of our previous lives’ deeds in present life and whatever good or bad we do, will have to be born in next birth. So, if someone lacks legs etc., and is unable to utilize the worldly material in the shape of shoes etc., and those who are poor and unable to purchase the shoes etc., it means it is with consent of Almighty God. That is why it is said:-

“Hum Hai Usmein Raza Jis Mein Teri Raza Hai”

i.e., we must be satisfied with the means available with us.

However, God helps those who help themselves. Therefore everybody must do hardworking in both paths i.e., to get progress in worldly matters like science, deed etc., along with spiritualism. It is stated in the Vedas that if a person follows Vedic path in life, he may change his luck i.e., a poor can become rich as well.

Shashi: Swami ji pranam jitne bhi festival hain swami ji kisi na kisi devta ya devi se jude hain ,ishwar ek hai sab mante hain bina ishwar ki aradhna tyohaar kaise manaen vedon ke anusaar spasht kijiye dhanyawaad shashi

Swami Ram Swarup: My blessings to you, my daughter.

Ved Ishwar se nikley avinashi gyan hai jismein kewal ek nirakar Brahma jo srishti ko rachta, palta aur sanhaar karta hai, ussee kee hee pooja karne ke liye kaha hai, kisi doosrey ki kadapi nahin.

Vedon mein panch chetan dev kahe hain-pehle mata jo devi hai aur janam deti hai, hum uskee seva karein, doosra pita jo palan-poshan karta hai, uski seva karein, teesra atithi jo kum se kum ek ved ka gyata ho, uskee seva dwara gyan lein, chautha Acharya (Spiritual Master) jo ved aur vedon mein kahee ashtang yog vidya ka gyata hai aur moksha prapti tak ka gyan deta hai, dukhon , agyan, avidya, aadi se door karta hai, uskee sewa karke tript karke hamien vidya prapt karnee chahiye. Panchwa swayam Parmeshwar hai jisney sansaar racha, usee Nirakar Parmeshwar kee vedanusaar pooja kee jati hai. Pehle char dev zinda hee poojneeye hain, death ke baad kewal unkee yad reh jaati hai. Iske ilawa vedon ke gyata ko Vidwwan arthat Dev/devta kaha hai aur vedon kee gyata beti athwa nari ko vidushi/devi kaha hai.yeh bhi zinda hee hoti hain. Iskey ilawa 33 devta jad hain jinkee pooja nahin kee jati weh hain…….

(i) Eight Vasus are meant to provide residence/nursing means to all living beings.

(ii) Ten Pranns (vital airs) are meant to establish breathing system in human body. It also establishes life within human beings. In addition, name of eleventh Rudra is soul.

(iii) Twelve Adityas are the 12 months importance of which is known by you.

(iv) Indra is vidyut (electric discharge in sky)

(v) Prajapati is Yajyen.

In sab ke ilawa koi devi/devta na tha, na hai, na hoga, aisa ved kahtey hain. Atharvaveda to yahan tak kehta hai ki jo manghadant jhoote devi-devta kee pooja karte hain, Ishwar unhein dand deta hai, isliye hum Ishwar ke anadi evam Avinashi vanni ved ko sweekar karke Mata ,Pita, Atithi, Acharya kee sewa karte hue Nirakar Parmeshwar ke kewal vedon mein kahi hui pooja karein.