Devyani: Koti koti Pranaam with your blessings and kripa every one here is fine. We all want to convey our Pranaams to you on the eve of amavasaya. I always feel your presence in each and every step of my life, what ever the problem or situation but at the end everything gets, settled when I pray to YOU and ISHWAR wholle heartedly. Mein aaj jo bi hu aur jo bi paya srif aur srif AAP KE ye paayar aur ashriwad se h h. You only installed confidence in me that I can do any thing. Its only because of your love and affection i am today in this place in life. Thanks everything. I humbly beg you i want to be at your feet all my life. And please give me blessings that I should follow only vedic path. With your blessings, my salary has increased and my career is doing well. Thank you very much. Koti koti pranam from all of us.
Swami Ram Swarup: My heartiest blessings to you, my daughter. I appreciate your spiritual views. My blessings to you, my daughter.

Rakesh: Pranam guruji. I want to know how man speaks as per vedas.
Swami Ram Swarup: My blessings to you. Matter of speech can only be made to understand in person. So, when you’ll come here, I will tell you.

Aaquib Khan: Pranam Swamiji, Mujhe Aapse Kuch Sawal karne Hai :1. Vedic Dharm Ke Anusaar kanya(girl) ki minimum aayu kitni honi chahiye uske vivah ke liye?
2. Kya Ved mein koi shlok iski taraf sanket(ishara) karta hai?
3. Kya Kisi dharmshastra (smriti) mein isse sambandhit kuch Hai?
4. Agar koi kanya 10 varsh ki ho aur wo physically vivah ke liye fit ho to kya vedic dharmanusaar uska vivah ho sakta hai?
5. Aam tor se (Agar bharat ke kanoon ko side kiya jaye) to ek pita ko apni beti ka vivah kitni umr mein karna chahiye?
6. Agar kisi kanya ke menses shuru ho jaate hai to kya use vivah kiya ja sakta hai? Vedanusar Uttar ki pratiksha. Bahut Dhanyvaad
Swami Ram Swarup: Salaam, bhaijaan.
(1) Rigved mantra 5/2/2 ke anusaar vivah ke samay kanya ki aayu kam se kam 16 saal kee honee chahiye aur putra kee aayu kam se kam 25 saal kee honee avashyak kahi hai.
(2) Yajurved mantra 11/39 mein kaha ki poornna yuva purush brahmacharinni kanya ke sath vivah karey.
Rigved mantra 5/2/2 ke anusaar poornna yuva purush 25 saal ka aur poornna yuva istree kam se kam 16 saal kee aayu kee hotee hai.
(3) Manusmriti mein bhi vivah ke Vishay mein kafi kuchh hidayatein hain par subject lamba honey ke karann yahaan uska varnnan nahin kiya ja sakta.
(4) 10 saal kee kanya vedon ke anusaar physically fit hai hee nahin 16 saal kee aayu mein kanya physically fit to hai prantu phir bhi 16 saal kee kanya ka vivah uttam vivah nahin manaa jaata uttam vivah kee aayu 21 se 24 saal tak kee hai.
(5) 18 se 24 saal kee aayu mein kanya ka vivah kar dena chahiye.
Yadi kanya phir bhi brahamcharya dharann karke padai likhai etc., karna chahti hai to weh suvidhanusaar vivah kee aayu badaa saktee hai.
(6) menses shuru hone ke pashchat bhi vivah kee aayu kam se kam 16 saal honee zaroori hai.