Vijay: Namaste guruji, I’ve read your books and it gave me an immense knowledge on our vedas. I’m waiting for your translation in English of the bhagavad gita because I’ve never came across a version close to the vedic teaching. But I do not know Hindi unfortunately. I would love to read it in English. When do you intend to publish it guruji? Thank you. A thousand pranam.
Swami Ram Swarup: Namasteji. I appreciate your interest in Vedic culture. I would also advice you to please start doing havan with Gayatri mantra daily which is a great worship of Almighty God. Hindi translation of Bhagwad Geeta is available and can be read by you through the nearest person who knows Hindi. The Hindi translation consists of extraordinary knowledge of ved mantras and about real personality of Krishna Maharaj. As regards English translation, it will take some time, please.
Devina: Adarniya Swamiji, mei hridaye se apko naman karti houn. Aap please batayein ki hamlog yajya kiun karte hai awr iska rahasya kia hai. Dhanyavad Swamiji.
Swami Ram Swarup: My blessings to you, my daughter. Yajyen kee mahima kai maheene
karte rahengey tab bhi pooree nahin kee jaa sakeigee. Thode mein samjho- : “Yajyau vai Shareshthtamam karmaha” arthat Yajyen sansar ka sarvashreshth shubh karma hai. Aagey kaha Yajyen Vishnu hai, Yajyen Brahma hai, Yajyen hamare prann hai, Yajyen karne se aayu, dhann, sukh, shanti, vidya, sab kuchh badta hai, Yajyen karne se hee Ishwar prapti hai. Yajyen karne se hee
grihasth ashram sukhon kee khan bante hain, Yajyen se dukhon ka nash hota hai, Yajyen karne kee agya Ishwar ne dee hai. Isliye vedon ne kaha ki Yajyen karne se Ishwar prasann hota hai. Kehne ka bhaav hai ki Yajyen kee mahima nahin kee jaa saktee. Main aapko advise karoonga ki is vishya mein aap meri ek pustak avashya padein jismein Yajyen kee mahima aur detail se kahee hai. Aapka postal address milte hee hum pustak aapko bhej deingey. Pustak ka naam – “ Vedic Pravachan Sangrah part I worth Rs. 120/- excluding postal charges.
Govind: Shrimad bhagwad maha puran me saloko ki sankhaya kitni hal?
Swami Ram Swarup: Sorry, Srimad Bhagwat Purann ke shlokon kee sankhya mujhe nahin
maloom. Sach to yeh hai ki ved vidya ke gyata vidwan, Srimad Bhagwat Purann ko prayaha ved virudh maante hain isliye uspar dhyan nahin deite.