Subh: Pranam guruji my friend wants to marry a widow who has a kid. He want to give vedic education properly so that the kid can live honest future life but he asked me a question. If he gives or imparts vedic sanskar inside the kid then is it required to know the family background of the kid because many people told him without knowing family background only vedic sanskar and education can not change a human being. Please reply.
Swami Ram Swarup: My blessings to you. To attain vedic sanskar, no family background or any kind of previous information is required. Yes, name of father and mother is definitely essential.

Satya Narain: Sharir ke kitne prakar hain? Vistaar poorvak b atayen. Bahut kripa hogi. Dhanyavaad.
Swami Ram Swarup: Shareer teen prakar ka hai.

Types of shareer

Sthool, sukshma aur karann, yeh teen prakar ke shareer hotey hain, sthool shareer weh hai, jo dikh raha hai. Paanch prann, paanch gyanindriyan, paanch sukshma bhoot aur mann tatha buddhi, in 17 tatvon wala shareer, sukshma shareer kehlata hai. Yeh do prakar ka hota hai, ek bhautik sukshma shareer, doosra swabhavik sukshma shareer. Teesra karann shareer jo sushupti avastha mein arthat gehri need mein Prakriti roop hota hai. Chautha shareer turia shareer kehlata hai, yeh yogi kee Samadhi avastha wala shareer hota hai. Maha Rishi Dayanandji ka bhi vedanusar yahi mat hai.

Rishi: I am buying a new car this month. Please suggest which day should I buy? Waise to saare din bahgwaan ke banaye hain n same hain but please ap apne anusaar dn bata de..to apki badi krpa hogi.. mera plan 22 22 Nov’13 ko lene ka hai.. OM.
Swami Ram Swarup: My blessings to you. 22 november to beet chuka hai aur aapney yadi car ley lee hai to mera aapko baar baar shubh ashirwad . Yeh car aapko aur aapke parivar ko hamesha sukh de. Aur yadi car nahin lee hai, to aap kisi bhi din jaakar car le lein. Ishwar ke banaye sabhi din shubh hotey hain.