Himanshu: स्वामी जी क्या मंदिर मे बिना नहाये जा सकते हे ? मेने कुछ दिन पहले एक व्यक्ति को कहते सुना की कोई मंत्र हे जिसे बोल के सान स्वछ हो जाता हे और नहाने या स्वच्छ होने की जरूरत नहीं । क्या ये सत्या हे ? क्या कोई ऐसा मंत्र हे और हे तो कृपया मुझे बताएं।
Swami Ram Swarup: Mantron se koi bhi sthan athwa insaan pavitra nahi hota. Nahane dhone aur safai karne se hee insaan aur sthan pavitra hota hai. Isliye achchha hai ki pratyek manushya pooja sthal par snaan karke jaaye. Han! Jab charon vedon ka prashan aata hai to hamein yeh samajhna chahiye ki ved Nirakar Ishwar se utpann avinashi vanni hain jismein anant gyan hai aur ved main avtarwad ya murti pooja ka vidhan nahin hai. Phir bhi jo murti pooja aadi karna chahein to apni marzi se karein parantu Ishwareeya vaani ved mein avtarwad aur murti pooja ka vidhan nahin hai .

Atul: Gurudev sadar pranam mera prashna ye hai ki jo manushya atmhatya kar leta hai use punarjanm milta hai ya nahi agar milata hai to kab tak.
Swami Ram Swarup: My blessings to you. Yajurved mantra 7/48 ke anusaar hum jeevatmayein manushya kee yoni mein aakar paap athwa punya karma karne ke liye poornataha azad hain parantu hamare kiye hue karmon ka phal kramshaha dukh evam sukh ke roop mein Parmeshwar deta hai. Artaht karmaphal hamare haath mein nahin hai. Doosra Rigved mantra 10/135/1,2,3 ka bhaav hai ki Parmeshwar nein hamein manushya ka shareer pichhley janamon mein kiye hue paap aur punnya karma ka phal dukh aur sukh ke roop mein bhogne ke liye diya hai aur ab jo paap aur punnya karma kareingey uska phal agley janamon mein bhogeingey. Bhaav yeh hai ki atmahatya ek mahapaap hai isliye jo atmahatya roop paap karta hai, weh bhi janam lekar avashya is paap ko mahadukh ke roop mein bhogega hee kyunki yeh Ishwar ka banaya hua srishtee ka niyam hai. Aur woh janam Rigved mantra 10/51/3 ke anusaar manushya ke shareer ka nahin hoga apitu kutta, billi, gadha, ghoda, saanp, bichchhu athwa keet patang ka shareer wala hoga.

Asal mein to Ishwar nein hamein manushya janam vedic sadhna karke Moksha prapti ke liye diya hai yadi hum vishya-vikaron mein padkar shareerik aur mansik pareshaniyon ka khud shikaar ho jaatey hain aur yeh Ishwar kee dein, jo manav shareer hai, uska dharamyukta istemaal na karke atmahatya jaisa paap karma karte hain to iska matlab yeh hua ki hamne Ishwar kee yeh sundar den thukra dee aur Ishwar ko naraaz kiya. Issey to, karza aur pareshaniyon mein bhi zinda rehney wala Mirza Galib hee achchha tha, jo keh gaya:-

‘Mujhe kya bura tha marna,
Gar ek baar hota.”
Yahaan Galib keh raha hain ki Pareshaniyon se ghabra kar koi marega to iska matlab yeh thodi hai ki weh pareshaniyon se azad ho gaya. Weh aur paapon ke saath is mahapaap ko bhi bhogega. Satya yeh hai ki hum sansari vastuyon aur maya mein phans jaatey hain, jo ki Raj, tam aur satva gunn se banee hotee hain aur sadaa vishaye vikari aur dukh dene walee hain. Inka istemaal to vedic bhakti karne ke sath-sath tyagpoorvak kiya jaata hai tab yeh vastu sukh detee hain anyatha nahin detee hain, is vishya mein main apna ek article paste kar raha hoon.

SUICIDE – A GRAVE SIN

Suicide is based on personal bad thoughts. So, bad thoughts are not changed by changing home. Suicide is a sin and is committed only when a person is indulged totally in illusion, due to lack of knowledge from learned acharya and also due to not worshiping the formless, Almighty God, who creates, nurses and destroys the universe. Commission of suicide can only be overcome by getting spiritual knowledge from learned acharya. In my life, hundreds of incidents came when men, women, girls opened their heart before me to commit suicide. But when I preached them properly and made them able to understand Vedic philosophy, nobody committed suicide and thus with the knowledge preached, their life was saved.

So, change of bad thoughts is required to avoid suicide and sins, not change of places etc. So, it is up to you only to decide the matter. To tell about flower means she is herself not firm on her predictions. On one side, she states that boy shall die if the marriage is solemnized and on the other side she states that colour of the flower shall decide the future of the marriage. So I would tell you, if you believe on your cousins words and your soul is denying to do the marriage then leave the idea of marriage accordingly.

Rebirth of choice after suicide

According to the religious path, even to think about suicide, is a sin. Human body is blessed by God to face the sorrows etc., according the deeds done in previous lives. Suppose a person commits suicide, it means he has not faced his deeds of remaining life. It means the deeds which he did not face, will be counted to be faced in the following life, after taking rebirth. Moreover, rebirth is also awarded by God according to the past and present lives’ deeds. When a person has committed the sins in the present life, how can he say that he will take rebirth of human life? He may be a snake, rat, lizard, animal etc., etc., and has to face more sorrows than those faced in human life. So one should never be nervous but must do hard deeds to get progress. You are advised to listen Vedas and learn how to perform yajyen, name jaap of God, asan, prannayam, meditation etc. You may come here also for a week or so to get spiritual advices otherwise you may seek an acharya locally. I have written some spiritual books according to Vedas, study of which will give you peace. The books can be sent on demand on receipt of your postal address. Please, do not be nervous. Be brave and go ahead for hard working and pious deeds i.e., worship etc.