Anupam: गुरुजी सादर प्रणाम।गुरुजी मरने के उपरांत लोग अंग दान करते है।कहते है 6 घंटे तक अंग निकाल लेने पर वह दूसरे के लिए प्रयोग किये जा सकते है ।गुरुजी जब आत्मा शरीर से निकल जाती है तो अंगों मे चेतनता कैसे बनी रहती है।गुरुजी वेदो उपनिषद ओर शास्त्र(दर्शन)किस युग मे लिखे गए।
Swami Ram Swarup: My blessings to you, beti. Jis shareer mein ang dale jaate hain , uske andar jeevatma hotee hai. Waise angon mein chetanta kabhi nahi hotee. Kewal jeevatma sharer mein Chetan tatva hai, uske rehte jad sharer ke ang aur shareer, mann tatha buddhi Chetan see lagtee hain parantu hotee jad hee hain. Yeh karya aisa hota hai jaise science mein ek tatva jiska naam catalyst hai uske hone se baaki action hota rehta hai parantu khud weh tatva (catalyst) action nahi karta.

Beti abhi to aapko samajhna chahiye ki ved likhe nahi gaye. Kafi samay se aap ved ka gyan le rahee hain. Ved Ishwar se utpann nirakar vanni hai aur kisi brahmarishi ke mukh se sunee jaati hai. Han! yeh avashya hai ki ved munhjubani yaad hote rahe aur yeh guru shishya parampara chaltee rahee. Aaj se lagbhag sade panch hazaar varsh pehle, Vyas muniji jinko guru parampara se munhjubani Charon ved yaad thei unhone bhoj patra par pehlee baar vedon ko likh diya. Iska matlab yeh nahi ki woh vedon ke writer thei. Writer to Ishwar bhi nahi thei. Ishwar kee power se charon ved utpann hokar prithivi ke prarambh mein char rishiyon ke andar prakat hote hain, isko yaad kar lo beti, dubara aisa prashan nahi karna.

Shastra aur upnishad rishiyon kee rachna hai. Yeh lagbhag chheh(6) hazaar varsh pehle likhe gaye.

Harshit: Prakritik purush drish b drishta me aatma kon hai?
Swami Ram Swarup: Drishta jeevatma hai aur drishya prakriti kee rachna hai.