Pankaj: Namaste guruji, aap ke har jawaab KO main gambhir ta se le ta hu. main ishwar ki shakti main puri that she vishwas karta hu. main sabhi dharm ke Dev aur devi ka puri tharah se samman (respect) karta hu. mujhe ek baat samajh nahi aati . aab mahadev ka udharan le lo, mahadev KO do putra hai ganesh aur kartik. kya kartik bhagwaan ka janam mahadev aur parvati ke beech insaano ki Farah sambandh hone se hua hai ya nahi. mera matalbh hai ki Devi aur Dev ke beech kya insaano ki tarah sambandh ho the hai ya nahi kisi Dev ya Devi ke nirmaan ke liye .
Swami Ram Swarup: My blessings to you. Vedon mein Dev usko kehte hain jiske acharan mein charon Vedon ki vidya ho. Roop to unka manushya ka hi hota hai lekin Ved evam yog vidya par acharan karne ke karan, unhe Dev ya Devi kaha jaata hai, ya Rishi, Muni, Yogi kaha jaata hai. Rishi, Muni athva Dev Devi, ityadi grahasthashram mein bhi hote hain aur unki bhi santaane hoti hain. Jaise Shri Ram, Shri Krishna, aur anya Rishi, Muni grashti they aur unki santaane thi. Vedon mein keval ek Nirakar Parmeshwar ki pooja ka hi vidhaan hai aur uski pooja rojana Yajyen/Agnihotra/Yogabhayas aadi se ki jaati hai.