Mamta: Pranam Swamiji man me ek prashn hai ki kisi vyakti Ko vedBhavnagar Gyan hee nahi hai to uske dwara Kiya Pavitra karma bhi fal nahi dega. Aur unki Bhavnagar shudh rage to karma ka fal nahi milega.kripya samjha dejeye
Swami Ram Swarup: My blessings to you, beti. Beti, jub shuddh buddhi hee nahin hai to shuddh/shubh karma kaise honge. Ved ka gyan suney bina buddhi shudh nahin hotee. Isliye jub ved bhavna hee nahin hai, ved suney hee nahin hain to buddhi bhi shudh nahin hai. Shudh bhavna ho hee nahi saktee jub tak hum ved marg per nahi chalte. Hamaree buddhi ya auron kee buddhi yeh zaroor kahegee ki hamaree bhavna shudh hai par weh shudh hogee nahi. Udaharannarth- Shudh bhavna soch kar hee bade-bade business mein partnership hotee hai. Baad mein weh vair-virodh mein badal jaatee hai. Shudh bhavna lekar hee pati-patni ke rishtey bante hain parantu kitne hee rishtey baad mein bigad jaate hain. Shudh bhavna se hee mata-pita bachche kee parvarish karte hain. Dekhne mein aata hai, zyadatar case mein aage chalkar ya to bachon kee bhavna bigad jaatee hai ya mata kee property aadi ko lekar bigad jaatee hai. Shudh bhavna ko lekar hee bete kee shadi kee jaatee hai parantu kai cases mein bahu kee vritti badal jaatee hai, kai cases mein saas kee badal jaatee hai, ityadi-ityadi.
Navin: Thanks for the valuable advice shri guruji
Swami Ram Swarup: My blessings to you, beta.