Rakesh: Pranam swamiji. Is it possible to get salvation without Vedas?
Swami Ram Swarup: No, please. As per Vedas, ancient and present Rishi–munis, tapasvis, yogis, six shastras and upnishads ,without following vedic preach in life attainment of salvation is not possible.

Manishankkar: Pranam dahi me kitanu hote hai use Lord Krishna bhi khate the aur sabhi to kya yeh mans khana nahi hai aspas ke jivanu muh me ja rahe hai ayurvedic asav and arist and homeopathy me bhi alcohol mila hai iska logic kya hai. Please I am brahman but this gets me in trouble. Thanks.
Swami Ramswaurp: My blessings to you. Dahi mein kitannu nahin, paushtik bacteria hote hain jo sehat ke liye labhdayak hain aur weh kitannu khane se marte nahin hain. Mar jayein to phir sehat ko fayda nahin hoga. Agar in medicines mein alcohol mila hai tub iske baare mein hum aur aap kuchh bhi nahin kar sakte kyunki yeh medical point of view kee baat hai.

Priyank: Guru g k charon me sadar pranam.. mera question yeh hai ki kya ghor tap karnay se parbhu humari sari dukh takleef or humari manokamna puri kartey hai. kua hanuman chalisha kilet hai agar hai tho esko nishkelan kasey karangey jis tarhey sunney ma ata hai ki mantra sarey lord shiv ne kilen keya huya hai suna hai mantro ko nishkelan keya benaaa unko japney se koye fal nahi milta kya hauman chalish bhe kilat hai or agar kilat hai to eska nish keln kya hai takhi hauman chalisha ka path karney per hum apney taklefo or pareshaneyo se mukti pa sakhey.
Swami Ram Swarup: My blessings to you.

Han! Ghor tap karne se Ishwar hamari takleefein door aur shubh kamna pooree kartey hain. Lekin ghor tap ka Vedic arth hai, kisi ved aur Ashtang yog vidya ke gyata vidwaan ke sampark mein rehkar vedadhyayan rozana ved mantron se Yajyen, hawan karna, naam jaap, indriyan sanyam, paropkar aur rozana dono time kathor Ashtang yog ka abhyaas karna. Ishwar kee aisee pooja karne se Ishwar shubh manokamna poornn karta hai, dukh nash karta hai. Hanumaan chalisa ka jaap Ishwar ke banaye vedon mein kahi bhakti nahin hai. Vedon mein to kewal Ek Nirakar, Sarvavyapak, Sarvashaktimaan Ishwar kee Pooja karne ko kaha hai. Weh Ishwar hee sarey sansar kee rachna, palna aur sanghar karta hai, aur koi nahin .

Iske ilawa koi doosra Ishwar nahin hai jiski pooja kee jaye.