Survrat: Pranam Gurudev, Mainey jis bachhe ke barey mey bataya tha voh pehley ek gurukul mey padhta tha. Us gao mey 2014 ko arya samaj ke naam par manav nirman sanstha ke aadhin ek gurukul ki sthapna hui thi. Us sanstha ko 100 bigha zameen tatha 3 crore rupay ki sampatti daan mey mili thi. Shuru mey sab kuch waha thik thak chal raha tha. Yajya aadi subh karm hotey they. CBSE ke saath saath Vedic pathyakram bhi padhaya jata tha. Ek mahiney ke andar andar lagbhag 140 bachhe bharti ho gaye thhe jo agley saal ki admission mey lagbhag 370 tak pahuch gaya tha. Vedic shiksha aur sanskar se sab log prabhavit thhe.

Parantu ab us gurukul mey keval 70 ke aas paas bachhe rah gaye hai. Logo ka bharosa uth gaya hai. Sab apney apney bachho ko nikal kar le gaye. Hum us ghatna ko batana nahi chahtey gurudev.

Yah sab hamarey gao ke us bhayya ne bataya tha jo hamney vishwas nahi kiya tha aur unsey adhik milney bhi nahi gaye. Bhayya ne yeh bhi bataya tha ki us sansthan ka mukhya kendra Udisa mey me hai aur unhoney Swami Agnivesh ka naam bhi liya tha. Veise hamney thoda bohot nakli arya samaj ke sansthano ke baarey mey suna tha aur yah bhi suna tha ki Swami Agnivesh ko arya samaj se nikal diya gaya tha.

Guruji, jab hamney bhayyaji se yeh kaha ki jab dhan sampatti adhik hota hai tab log ved padhna tyag dete hai aur unhey ishwar ka smaran nahi rahta tab unhoney bataya ki sahi kah rahe ho kyoki pehley pratidin yajya hota tha, fir kuch mahiney baad saptah mey ek din yajya hone laha. Burey lakshan bhi dhirey dhirey dikhney lage thhe. Humney satyarth prakash ka ullekh kartey huwey kaha ki maharshi ji ke anusar kanyao ka aur balako ka gurukul paryapt duri mey hona chahiye aur kanyao ke gurukul mey purush adyapak nahi hona chahiye. Phir hamey pata chala ki eise bohot se niyam waha chal rahe thhe jo arya samaj ke anukul nahi thhe.

Bhaiyyaji kehtey hai ki hum apney gao mey asli arya samaj ka gurukul kholengey. Voh gao ke logo se baat kar rahey hai. Unhoney hamey arya samaj se sampark karney ho kaha hai.
Guruji, kya yaha gurukul kholna sambhav hoga, kripya magdarshan karein. Apkey charno mey shat shat naman. Aapka shishya.
Swami Ram Swarup: My blessings to you. Beta maine aapkee saari baatein padeein and samajh mein ayeein. Doosree baat jo aap gaon mein gurukul kholne ka iraada kar rahe ho, yeh bahut achchee baat hai parantu jaise aapney kaha, arya samaj ke adheen hee yeh gurukul khulne chahiye aur jahaan chah hai wahaan raah apne aap Ishwar bana deta hai. Meri shubh kaamnaon sahit aap sabko ashirwad.

S P G: Guruji,i am interested to study vedas.
Swami Ram Swarup: Your views are appreciated. In this connection, you are advised to make contact with any gurukul or nearest Arya Samaj for future guidance.

Sitaram: Why to break coconut during Laxmi Puja?
Swami Ram Swarup: Sorry, I don’t know because this process is not used in vedic worship i.e., while doing agnihotra with ved mantras.