R: I have a daughter. Manay jis jis ko janam patri dikhayee usnay bola is ki janam patri achee nahi hay life achi nahi hay husband kay sath achi nahi hay struggle he struggle hay..plz mujhay iskay baray may batay may abhi say worried hu
Swami Ram Swarup: My heartiest blessings to you, my daughter. Dekho beti, worry karne kee to koi baat hee nahi hai. Ishwar ne yeh duniya banayee hai isliye Ishwar ka hee rajya is prithvi par chalta hai, hum manushyon ka nahi isliye yeh baat sada yaad rakho ki is duniya mein ek to weh karma kand, gyan kand, upasana kand chalta hai jo swayam Ishwar se utpann hai, manushyon se utpann nahi hai aur doosra marg Karma kand, Gyan kand, Upasana kand aadi weh hai jo manushyon dwara banayaa gaya hai, Ishwar dwara nahi. Ishwar dwara banaya marg-Ved marg hai aur koi marg nahi hai. Baaki jo marg banaye hani weh manushyon ne banaye hain, Ishwar ne nahi. Sahtpath Brahmin Granth ke Rishi Yagyavalkya Kehte hain — manushya jhooth bolte hain parantu jo ved aur yog vidya ke gyata hain, weh sadaa satya bolte hai. Isliye Rishiyon ke granthon ko maano jo sach bolte hain. Rishi hamein apne granthon se updesh karte hain ki vedon mein dosh aadi nahi hai. Is vishaye par mere article is prakaar hain—
Kaal Sarp Yog & other such defects in astrology
Vedas are eternal and knowledge direct from God wherein such kaal sarp yog etc., are not mentioned, please. So you need not to worry. Please try to do havan daily even from gayatri mantra, which is a great worship of God and will give you benefit. The meaning of kaal is also time. So death comes according to time for which the God has given life to us. This is all based on our previous lives’ pious deeds and sins. So there is no effect of kaal sarp yog etc., in the life, but effect of deeds (karmas) only. So, one must do always pious deeds to be happy. Present pious deeds can burn our previous deeds also and life’s time can also be extended wide Yajurved mantra 3/62.
Afraid of any kind of dosh
There is no seva dosh, mangal dosh, kaal sarp dosh, navgrah puja, pitra dosh etc., mentioned in Vedas, the eternal knowledge which emanates directly from Formless, Almighty God. So, learned never accept the same being against the Vedas and due to their non existence in universe. So, please do not be afraid of seva dosh and faithfully discharge your duties towards family.
Tub hamein ved-virodhi panditon kee baatein nahi maananee nahi chahiye. Kewal ved kee evam Rishiyon kee baatein maananee chahiye. Isliye aap nishchint raho, aap kee beti mein koi khot nahi hai. Han! Rigveda mantra 10/135/1,2 ke anusaar aap, hum sab, aapkee beti pichchley janmon ke shubh-ashubh karma bhogne aaye hain. Parantu yadi hum ved marg par chalenge to yeh karma bhi bhogne nahi padeingey.
I paste my article in this regard as under-
Rigved 10/135/1, 2, 3, 4 ka yahi bhaav hai ki manushya ka yeh janam pichhley janam ke kiye punnya paap karmon ka phal bhogne ke liye mila hai. To jitni deir punnya karma ka phal mahina, do mahina, saal ,do saal rahega, utnee deir tak to weh manushya, is janam mein kiye paap karmon ko karta hua bhi pichhley janam ka punnya phal sukh ke roop mein hee bhogega . Jab punnya phal ka time samapt ho jayega tab weh manushya paap karma ka phal dukh ke roop mein bhogega. Yeh ved mantra, yeh bhi kehta hai ki jo is janam mein hum paap karte hain uska phal dukh ke roop mein agley janamon mein bhoga jaata hai. Isiliye log zydatar yahi sochtey hain ki kitne hee insaan paap karma karte hain lekin sukhi dikhayee deite hain. Unhein yeh maaloom nahi ki weh pichhley janam ke kiye karmon ka sukh bhog rahe hain. Iska example Ravanna bhi hai ki jab tak uska paap ka ghada nahin bhara, usnein sukh bhoga aur jaise hee paap karne ka time khatam ho gaya uskee sone ki Lanka ujad gayee.
Doosree baat yeh hai ki Ishwar bhakti ke bina koi bhi sukh prapt nahi kar sakta. isliye jo insaan aaj pichhley janamon ke punnya phal se dhan –parivar aadi ka sukh bhog rahey hain, weh bhi yadi Ishwar ki ved anusar bhakti nahi karte to dikheinge to weh sukhi par mansik dukh unhein andar hee andar sataata hee rehta hai. Isliye ved kehte hain ki manushya ka yeh janam pakar vedon ke anusar Ishwar bhakti karte hue pichhle janamon ke dukh dene wale karmon ko nasht kiya ja sakta hai aur is prakar ek lambi sukhmayee aayu prapt kee ja saktee hai.