Arya Vinod: Kripya athrvaved ka vah praman bataye jahayah bataya hai ki joh mansahari maans khana tyag deta hai ishwar usse kshama kar deta hai,yadi aisa hai toh geeta me aisa kyo kaha hai ki..,awashymev bhoktavyam kritam karmam shubhaashubham.
Swami Ram Swarup: Actually, Vyasmuniji Mahabharat ke Anushasan Parv mein kehte hain ki :-

“Bhakshayitvaapi Yo Maansam Pashchadapi Nivartatey
Tasyaapi Soomahaan Dharmo Yaha Papadvinivartatey.”

Meaning:- The person who used to take the flesh but afterwards he leaves it he also gets its result in the shape of pious deed because his sins are destroyed.

Arthat jo manushya maans khana chhod deta hai, to uskey maans khane ke sambandh mein paap karma kshama ho jaate hain.

Neha: Guruji bhut bhut thanks book send karene ke liye. Guruji aap apena ashirwad bnaye rakhe..
Swami Ram Swarup: My blessings to you, my daughter. You are welcome, beti. Han! Beti, payment mil gayi hai, aap payment kee kabhi chinta na karo. Jab kabhi aap sub ayengein to main khud aapko kai pustakein bhaint (present) karoonga.