Deepak: Charan sparsh swamiji bhagwan budh ne dhyan ke raste se moksh prapt kiya , kya yeh sahi baat hai , aur pran chikitsa aur reiki healings kya hote hai , jaise maine khud ne yeh mahsoos kiya hai ki agar koi mujhe reiki de raha hai to mere shareer me garmi utpann ho jaatee hai aur koi ang fadakne lagta hai , aur mere ek mitra ne mere pitaji ko pran chikitsa di to unke swasthya me sudhar shuru ho gaya , mere ek any mitra hai vo dono hath kholkar baith jaate hai to unko bahut hi vibrations aatee hai hatho se pooree body me , mai janta hoon ki inka astitv vedo me nahi hai lekin yeh mahsoos to hotee hai , yahan tak ki kisi ne mujhe america se healings bheji to mere sahstradhar chakra me kuch feel hua , krupya samaj ke liye yeh sawal pooch raha hoon , kyonki 99% janta puri duniya me to poori jindagi havan yoga ke bina apna jivan bita dete hai ,aapka son deepak bhai charan sparsh ,
Swami Ram Swarup: My blessings to you. jo mahapurush chale gaye unke bare mein present mein hum comments nahin kar saktey. Han, dhyan bhi ek vedon mein kahi unchi sadhna hai, lekin yeh vedon ke gyata yogi se ashtang yog vidya seekhkar or apnakar nitya dhyan mein baitha jaata hai.
Prann chikitsa aadi prannayam ki hee kriyaain hotee hain. Prannayam se swashthya achchha hota hee hai baki rekki aadi ka varnann vedon mein nahin hai. Jo kuchh bhi aap aagey likh rahein hain aur aapne theek hee kaha in sabka varnann vedon mein nahin hai isliye ved ke virudh hone ke karann koi vedic vidwan inhein nahin apnata.

Ishwar ne char vedon mein sapsht kaha hai ki har insaan grihasth aadi ke shubh karam karte karte vidwan se ved vidya seekhe aur Ishwar ke naam ka jaap Yajyen aur yogabhyaas nitya karey. Ise hee vedon ne Ishwar kee Pooja kaha hai. Hum vedon mein kahi Ishwar kee bhakti karein, insanon ke banaye hue marg se bachein.

A: Swami, I want to increase my height. I am 21 now. Can u suggest me some methods to follow?
Swami Ram Swarup: You are advised to learn Tadasan and Pashchimauttaan asan from local Yoga Teacher. You should also get up early in the morning to do a race daily.

Anuja: Swamiji I want to know that after doing hawan can we do gaytri aarti also? If yes, then please explain the method!

Swami Ram Swarup: Please send the Gayatri aarti to enable me to give the proper answer because when Yajyen is started from Gayatri mantra and is ended also with Gayatri mantra then its aarti is not required. However, send the wording of Gayatri aarti in which I will check whether aarti tallies with Vedic philosophy or not.