Archi: When can we come to Yol again? I want to come.

Swami Ram Swarup: Archi beta let the lockdown open, then only you will be able to come to Yol. My blessings to you.

Isha: Pranam Maharajji,aapka ashriwad banae rakhna Mene Geeta pratham bhaag padhna start Kia hai usme Mene padha ke jab Shri Krishna ke sharir tyaag ke baad Arjun strio ko leke jaate hai to unko Chor daaku leke jaate hai to vivah ko aathva pishach q kaha Gaya hai. Pranam Maharajji.

Swami Ram Swarup: Mera aapko hardik ashirwad beti.dev vivah to samaj mein baithkar purohit ved mantron se vidhipoorvak karte hain aur yeh var-vadhu kee ichchha se hota hai. samaj ke gannmanya nar nari var vadhu ko ashirwad dete hain parantu pishach vivah mein to pisahch vritti ke log kanya ko zabardasti utha kar le jaate hain. Vivah mein kanya kee marzi nahi hotee, weh rotee huee pishachon dwara zabardasti le jayee jaati hai.

Daya: Gurujii ko mera dandwat charan sparsh maharaj ji aapke aashirvaad se vedon ko padhana chahta hun kyaa aapke through arrange ho sakte hain Charo ved, shastra, upnishad, mahabharat and valmiki ramayan, manusmriti jitni vedon relatives hain pura set mil sakta hai to mujhe chahiye

Swami Ram Swarup: Mera aapko ashirwad, beta. Beta, aap M/S Vijay Kumar Hassanand, Nai Sadak, Delhi-110006.

The website of M/S Vijay Kumar Hassanand is – www.vedicbooks.com

ko likhein aur mera naam bhi likh dein ki unhonein kaha hai. Wahaan se payment par sab pustakein mil jayengi.