Akshay: Swamiji pranaam apse main pehle bhi prshn kar chuka hu aur vedon ke bare me apni jigyasa aur badhi hai .main apse puchna chhta hu ki- 1.kya ved mandir aakar main vedo ka gyaan le sakta hu 2.kya main atmagyaan aur ishwar ko paa sakta hu 3. Apne yam niyam ke bare me bataya to jitna jaan ska uska utsukta se palan karne ka icchuk hu kripya aap mujhe bataye ki kya main himachal aakar aapse ved gyan le sakta hu.
Swami Ram Swarup: Mera aapko ashirwad. Yeh, aapke oopar Ishwar kripa huee hai ki vedon ke bare mein aapki jigyasa baadhi hai. Sadaa sukhi raho.
1.) Han! Aap ved mandir aakar vedon ka gyan le saktein hain aur 3rd may, 2015 se 5th July, 2015 tak yahaan prativarsh kee tarah chaaron vedon ka anushthan shuru ho rahaa hai. Usmein ved aur yog kee shiksha dee jaatee hai. Pratah samay ved mantron se Yajyen hotey hain. Isliye aap may-june mein aayein toh bahut achha rahega.
2.) Aatmagyan ke dwara ishwar ko paane ka adhikaar pratyek nar-naari ko hai. Uske liye vedon par aur vidwanon par shradha, gyan paane kee jigyasa aur mehnat kee aavashyakta hai.
3.) Aap zaroor Himachal mein mere paas aayein.