Prabhakar: Pranamam Guruji, Thanks for your answer. I will read it and let you know if I have any doubts. Thanks & Regards.
Swami Ram Swarup: My blessings to you. You are welcome, please.
KK: Dandvat pranam Guruji. Thank you so much for performing the Yagya earlier and agreeing to perform Nishkramann sanskaar for my wife and child. Over 60 days have passed now and I request that the Yagya is performed as per your convenience. I am so sorry that I am unable to come for it personally.
Swami Ram Swarup: My blessings to you. Dear son KK, the requisite yajyen will be performed on coming sunday.
Anupam: Swamiji namastey.swamiji maine suna hai ki jo mukt jeevatmaye hoti hai veh yadi kahi koi achha karya hota dekhti hai to usme sahyog karti hai.kya ye sach hai.yadi esa hai to sareer ke bina vo dahayata kaise ker sakti hai.swamiji mere kai prashno ka utter abhi nahi mil paya hai.samay milne per please utter dijiyega.kai bhrantia door ho jati hai.ab to apko online sunne ka bhi avsar mil jata hai.dhayabad.apna aashirwad banaye rakhe.
Swami Ram Swarup: Namaste beti. Mukta jeevatmayein har bandhan se azaad hotee hain aur Brahmand mein jab weh koi achcha karya dekhtee hain ya yajyen ho raha ho, us yajyen ko dekhtee hain aur nishchit hee usmein ashirwad detee hain. ved virudh kisi bhi karma mein weh sahyog nahin detee hain aur manushya to apnee marzi se jis bhi kisi karma ko shubh keh deta hai aur kisi bhi shubh karma ko ashubh keh deta hai. Issey mukta jeevatma ka koi lena-dena nahin hai. Mukta atma, pehle bhi kaha ki weh kisi bhi bandhan mein nahin hai, isliye apnee man marzi ka koi bhi roop dharann kar letee hai aur shubh karya hone ke pashchaat shareer ko samapt kar detee hai. Ashirwad.