Sunil Dogra: Hum Baghwan kise kah sakte hai?
Swami Ram Swarup: Hum Bhagwan kewal Usey keh sakte hain jise Swayam Bhagwan hee kehta ho ki ye Bhagwan hai. Jaise kisi nayi jagah jaakar aap doosron ko jab tak apne baare mein nahi batayenge tab tak aapke baare mein koi nahi jaan payega. Isee prakar jub Ishwar nayi srishti kee rachna karta hai, to nayi srishti wale insaan Ishwar ko nahi jaante. Nayi srishti mein sab naye pranni utpann hote hain. Wahaan koi pichhlee srishti ka Guru bhi nahi hota jo gyan de. Isliye sabse pehle nayi srishti mein Parmeshwar hee pratyek vidya ka gyan jismein science, bhautik gyan, karma kand aur upasana kand aadi hote hain un sabka gyan deta hai. Iske baad hee manushya ko anya vidyaon ka, Parmehswar ka gyan ho paata hai. Jaise Yajurved mantra 40/8 mein Parmeshwar ne kaha ki Weh Omnipresent, sarvashaktimaan hai, shareer se rahit hai, nirakar hai, Ishwar ka nervous system nahi hota, Ishwar janam- mrityu mein nahi aata ityadi. Isee tarah pratyek ved mein Ishwar ka gyan, Shakti, alaukik karma ka varnnan hai. Atah hum usey Ishwar na kahein jise manushya apnee buddhi se Ishwar maan rahe hain. Hum usey Ishwar kahein jiska varnnan vedon mein hai aur vedon mein kahee hui Pooja karein. Yahee Vedic Pooja anadi kaal se chalee aa rahee hai, Jo ab dhai hazaar saal mein manushya dwara mazhab banaa liye gaye uske anusaar manushya Pooja- path kar rahe hain jo vedon ke anusaar nahi hain. Han! Jo apnee marzee se ved ke khilaf jis bhi marg ko maanta hai, weh maane woh uskee apnee marzi hai.
Sunil Dogra: Maine aapke ek book(vedo se mritiyu rashya jano page no-62) mein padha ki soul nirlape hoti hai toh karmo ka lape sape kis par chadta hai.Agar soul nirlape hai toh hum yeh kyu kehte hai ki yeh humre purne janmo ka hisab kitab hai?
Swami Ram Swarup: Soul nirlape hee hotee hai arthat soul kisi padarth aadi mein lipt nahi hotee. Parantu soul jis bhi yoni mein jaatee hai uske saath alag se suksham mann, buddhi, chitta aadi prakriti rachit tatva hote hain aur anadi kaal se chale aa rahe achchhe-burey karmon ka lekha chitta par banaa hota hai. Jeevatma manushya ka shareer dharann karke gyan indriyon dwara bahar ke sansaar ke bahar ke padarthon jaise sona, chandi, chamak-damak, moh-mamta, paarivarik pareshaniyon aadi kee aur aakarshit hokar vivekheen ho jaatee hai aur apne shuddh, Chetan swarup ko bhool jaatee hai. Is prakaar weh chitta par likhe apne paap-punya karmon ka bhog bhogtee rehtee hai.