Neha: Pranam guruji.. aapeko maine cd ke payment send ke thi kya mil gyi? guruji aapene last time meri prb ko suna aur mujhe ise me help ke. guruji jis ldke ne ye sbe natak kiya wo ek respected family se hai.. agr me kuch galat kru aur mere wajah se parents hurt ho mujhe acha nhi lgega.. isliye guruji maine police complain nhi ke. use din ke bd useka khabhi koi msg cll nhi aaya .. so aage bte bdana thik nhi.. agr next time cll aaya aur mujhe gaali di me ab complain kr dungi jaisa aap ne kha hai. ab me bs paisa kama ke hmesa ke liye bhr jaana chati hu.. bs aap wo aaahirwad de dijiye me apene sapene pure kr sku.. guruji maine aapeke bhajan sune the aap ne kai br bagwan ram bola hai. wse to guruji aap khete ho na wo god nhi the.. god bs ek hota hai.. fir unhe god ku kha?
Swami Ram Swarup: My blessings to you, my daughter. Beti, Upnishad mein Rishiyon ko, Samadhi prapt yogiyon ko Bhagwan hee kaha hai aur yeh baat Atharvaved 3/16/5 mein bhi kahee hai. Parantu yahaan Bhagwan ka arth jagat kee rachna karne wala nirakar Parmeshwar nahi hai . Yahaan Bhagwan ka arth hai, Samadhi prapt aur sukh sampada prapt Yogijan aur Valmiki Ramayan mein Sri Ram ko ved ka gyata samadhi prapt purush kaha hai aur Mahabharat granth mein Vyasmuniji ne Sri Krishna Maharaj ko ved ka gyata samadhivan purush kaha hai. Beti mera tumhein bahut ashirwad tumhari shubh kamna Parmeshwar pooree karein.

Anu: Guruji pranaam aap ki sanstha Jaipur, Rajasthan main kaha hai?
Swami Ram Swarup: My blessings to you, beti. Nahi beti hamara to ek chhota sa Ved Mandir, Yol mein hee hai. Pracheen kaal se kisi tapasvi ke ek se adhik ashram nahi hua karte they. Ek hee ashram kee sahi dekhbhaal karna, ved vidya ka daan karna, swayam rozana tapasya aur Yajyen karna hee ati kathin karya hai, jiske liye subah chaar baje se raat ke barah baj jaate hain. Ab batao doosre ashram kee dekhbhaal ke liye time nikaalein ya phir aisa karein ki vidya, tapasya, ved ,yogabhyaas, gau kee sewa jo yeh rozana ke shubh karma hain, yeh to na kiye jayein aur bahut saare ashram khol kar paisa kamaya jaye. Kyunki har ashram mein paisa chadhta hai aur phir main har ashram mein ek Raja kee tarah apne angarakshak ke sath mehangi- mehangi car mein baithkar ya hawai jahaj ke zariye tour par jaun to yeh to beta hamse nahi hota.