एक रोती और दुखी आत्मा की आवाज़: पूज्य गुरुदेव , आत्मीय- नमन , वन्दन , चरण – वन्दन l गुरुदेव स्वामी दयानंद जी महाराज ने सब पृथ्वीवासी एक धर्म (वैदिक धर्म ) को मानकर तदनुसार आचरण करके सुखी हो जाये, इस भावना से , ईश्वरीय प्रेरणा से 1875 मे प्रथम आर्य समाज की नींव रखी , आज देश- विदेश मे उनकी प्रेरणा से अनेक आर्य समाजों की स्थापना भी हो चुकी है , अनेक आर्य समाजों द्वारा वेद – प्रचार का उत्तम – उत्तम कार्य भी हो रहा है , किंतु 1875 के बाद से लेकर अब तक लगभग 141 वर्षों से भी ज्यादा समय हो गया है , किंतु सम्पूर्ण पृथ्वी पर एक धर्म (वैदिक धर्म ) स्थापित नही हो पाया है , सम्पूर्ण पृथ्वी न सही कम से कम विश्वगुरु रहे हुये हमारे प्यारे भारत देश मे भी यह कार्य हो जाता तो कितना ही उत्तम होता , किंतु अभी तक न हो पाया है , जिसकी हृदय मे बहुत पीडा है गुरुदेव l तो गुरुदेव . . . . . . . . .
1)इसकी मूल क्या वजह है ? 2)आर्य समाजों के कार्यों मे कैसे अतिशीघ्र उन्नति हो ताकि देश और दुनिया मे अतिशीघ्र वैदिक धर्म स्थापित होकर सर्वत्र शांति आ जाये ?. . . . हे दयालु पिता !हे कृपानिधे ! इस विषय मे हम सबको उचित दिशानिर्देश और आज्ञा दे दीजिए , आपकी बड़ी कृपा होगी l
Swami Ram Swarup:Beta, ismein koi sandeh nahin ki sampoorna prithvi kee to kya baat kahein, Bharat varsh mein bhinn-2 prakar kee bhakti, sampradaye ban chuke hain aur is prakaar sabka ek ved ke jhande ke neeche aana atti kathin karya ban chukka hai. Iska karann main yahaan nahin likhna chahta. Aapas mein bhi kai prakar ka virodhabhaas hai, jo nahin hona chahiye. Han! Ek karann main yahaan likh raha hoon ki jub dharma rozi-roti ka dhanda ban jaata hai aur swarth poorti ke liye upyog hone lagta hai tub door-door tak bhi satya sthapit hone kee kalpana nahin kee ja sakti. Isliye jo satya marg par hain, unhein apnee kshmta anusaar ved prasaar ke liye purusharth karna chahiye.
Ved “Vishwaani duritani paraasuv” kee prerna deta hai. Atah sarvaprartham sabko burai apne andar dekhnee chahiye aur yadi kaam-krodh, mad-lobh aadi anek burai hain to unhein bahar nikaalne ke liye nitya Vedic vidwaan se ved sunna, sune hue gyan ko acharann mein laana, naam simran aur yoabhyaas dwara bhi indriyon ko sanyum mein laane kee cheshta karnee chahiye.
Hath yog se burai nahi nikaltee. Burai nikalna to upar kahe Vedic sadhna ka phal hai. Hum apne se burai na nikalein, nitya sadhna na karein aur tathakathit pravachan kar-2 ke doosron se burai nikaalne ko kahe to ved ne bhi keh diya hai ki ved mantra tumhara- kya bhala karenge arthat kuchh bhala nahin karengey aur is prakaar aaj ke paakhand, andhvishwaas, thothe karmakand aur ved-virudh naastikwad adi burai ko nasht karna asambhav hota hai jo ki aaj spashta dikhayee de raha hai.
Anupam: गुरुजी प्रणाम।गुरुजी महीने में 1पूर्णिमा 1मावस व 2 एकादशी होती है।एकादशी के आगे विशेषण जैसे जया एकादशी विजया एकादशी पुत्रदा एकादशी आदि क्यो लगाये जाते है।इसी प्रकार गुरू पूर्णिमा बुद्ध पूर्णिमा आदि क्यो कहा जाता है।क्या इस पौराणिक आधार पर है।गुरुजी वेदों में क्या महीने व दिनों के नामों का भी उल्लेख है।गुरुजी बृहस्पति को केले की पूजा शनिवार को पीपल पेर दीपक जलाना क्या पौराणिक उल्लेख है।गुरुजी आदि शकराचार्य कौन थे।क्या वे वेद ज्ञानी थे।शंकराचार्य पीठ से क्या अर्थ है।नमस्ते गुरुजी।मार्गदर्शन करते रहिएगा।
Swami Ram Swarup: My blessings to you, beti. Jaya Ekadashi, vijaya Ekadashi aadi naam vedon mein na hone ke karaan vidwan isey apramanik maante hain. Vyas Muniji ne aaj se lagbhag sade paaanch hazaar varsh pehle Dwapur yug mein chaaron vedon ko bhojpatra par likha tha, yeh chaar ved Vyasmuniji ko guru parampara se moonh-zubani yaad they jinhein unhonein bhojpatra par likh diya. Jis din Charon vedon ka likhna poora hua tha us din hee Vyasmuniji ne apney shishyon ko darshan diye they jisse is din ka naam Vyas Pooja pad gaya. Kyunki is din sabhi shishyon ne prasann hokar apne Guru Vyasmuniji ka vishesh aadar-sammaan roop unkee Pooja kee thee. Isey pehle Vyasmuniji ne ekant mein rehkar chaar ved likhe they. Vartamaan mein isee Vyas pooja ka naam Guru Pooja rakh diya hai jo ki parampara mein nahin aata. Han, vedon mein mahine, dinon, kshann aadi sabka varnnan hai. Aisa koi matter nahin chchoota jiska varnnan vedon mein na ho.
Yeh Pooja vedon mein nahin hai. Vedon mein sirf nirakaar Ishwar, Mata –pita, atithi aur acharya kee hee Pooja hotee hai aur Pooja ka arth hai aadar, maan-sammaan karna.
Aaj se lagbhag 1500 varsh pehle aadi Guru Shankaracharya jee ka janam hua tha, weh Charon vedon ke vidwan the.
Uske baad chaar shankaracharyon nen apne-2 sthaan banaye- Amarnath, Kedarnath, Badrinath, Jagannath. In sthanon ko hee peeth kehte hain.
MC: Pranam Swamiji. Swamiji, I would like to kindly request Ved Mandir Prakashan to refill the stock of the book “Brahamcharya Dukh Nivarak Divya Mani ” on Flipkart. Last time when I visited Flipkart I found the book out of stock.If there is any problem in doing so, then Please ignore my request.
Swami Ram Swarup: My blessings to you. Needful has since been done, please.