Tek: Guru dev pranam ,,,gurudev kripa kijiye mere man me utne sare bichar khilte he ki ab to mujhe khud dar lagne laga he ki kahi me pagal na hijao agar jabhab na mile to aap ki ho jo ab mujhe is bhabsagar se tar sakte ho ,,,aap to guru ho jo parmeswar ke sakshatkar karane me samarth ho ,,,guru dev jiwan maran kyu he jya isse bachme kohi upaye nahi,,,itne sare dindukhi kyu he kya inke bhagme sukh nahi,,,mene dekha he pahadi ilako me manna he ki ,,,,,,jab aadmi ya aurt ka sarir kampan karta he to kohi kahte devta ,kohi apsara etc.kya sachme devi devta hote he ,,,,yaha tak ki yah kehna v he hamare purkha galti kare to hame bhugatna padega kya yah sach he agar ham unki galtika prachit v kare to kese hame to pata v nahi ki galti kari kya he,,,ab itni sare bate kahpana sambhab nahi kyu ki aap khud hi sarbgyani he aap se bhale kya chhupa he,,,…aap mahan he jo janhit karte ho
Swami Ram Swarup: My blessings to you. Beta, Manushya ka janam sansaar ke shubh karma karte-2 Ishwar prapti karna hai. Ishwar ne vedon mein kaha hai ki manushya ka mann kalyaankaari vichaar wala ho, burey vichaar mann mein na laye. Iske liye manushya ko vedon ka sunna, yogabhyaas karna, naam japna, Yajyen karna aadi anek shubh karma nitya karne ko kaha hai. Aap ab kewal vedon ke gyata vidwan se sampark karein aur unse Vedic shiksha prapt karein. Aap khud dekhenge ki sab kuch theek ho jayega. Guru bhi tabhi kripa karta hai jub jisgyasu uske dar par aakar Vedic shiksha grehan karta hai. Jeevan –marann swabhavik hai. Karmanusaar jeevatmayein bhin-2 shareeron mein aakar sukh-dukh bhogtee hain. Ved marg par chalkar hee mrityu ko jeeta ja sakta hai. Itne saare deen-dukhi hone ka karann bhi karmon ka phal bhogna hee hai. I paste my article in this regard as under-

Three types of Deeds

There are three types of deeds (karmas) – sanchit, prarabhadh and kriyamann. Suppose one soul has to take birth (body). It means he has to face total number of deeds of his all previous lives and these deeds are called sanchit karmas but sanchit deeds are huge/unlimited and cannot be faced in one life. So the karmas which can be faced in one life are called prarabhadh (luck-destiny). So God has not made our luck at His own but Almighty God has considered the deeds which we have already done.

Yajurved mantra 7/48 clarifies that human being is free to do any deed good or bad but God only awards the result. Now the balance deeds from sanchit deeds will be counted in the next life. Now the deeds which we do in our day today present life are called kriyamann.

If we do pious deeds according to Vedas, shastras and holy books and based on pious preaches of Rishi, Muni/learned saints then our all sanchit deeds are burnt and we can get salvation. Human beings are free in the matter of doing deeds good or bad. But result will be awarded by God. So we must worship and do pious deeds under guidance of a learned Guru. One should go always ahead for hard working, pious deeds, worship to make future bright himself. One should always work hard towards a right path.

Worship does not mean that we are free to discharge only our family duties, education, etc., but rather it is a sin. We have to get progress in both way simultaneously i.e., spiritualism and worldly progress i.e., science, education, duties towards family etc. God creates the universe according to His eternal law framed in Vedas which are always unchangeable and unchallengeable. So we have to follow the law of God always to get long happy life.

Nahin, shareer kampan ka arth devi-devta ka hona nahin hai. Purukhon kee galti hum nahin bhogte, sab apne-apne karmon ka phal bhogney is sansaar mein aatey hain. Beta, mera aapko ashirwad.

Anonymous: Swami ji mera ek dost ka kehna hai adhwar ka matlab uninterrupted hota hai naa ki non violence ? to main usko galat sabit kasie karun ?? kripya meri madad kijiye?
Swami Ram Swarup: Aap Sanskrit kee dictionary lekar adhwar shabda ka arth usmein usko dikha dein. Issey uskee shanka door ho jayegee.

Dwivendra Dubey: Guru ji pranaam , Please explain me Chapter 6 verse 19 of bhagvad geeta .many says it unscientific. Pls explain
Swami Ram Swarup: My blessings to you. Geeta shloka 6/19 ke bhaav ko hum samjhein. Ek to yeh hai ki vaayu rahit sthaan mein rakhe Deepak kee lo nahin hiltee-dultee arthat kamre mein aise sthan par Deepak rakha hai jahaan vaayu to hai lekin tezi se nahin beh rahee jissey Deepak kee lo hile-dule. Doosra arth yeh bhi hai ki jahaan bilkul vaayu na ho, wahaan na to Deepak jalega, na lo hogee aur na hiley-duleygee.

Pranatu upar wala arth hee theek hai. Kyunki upar wale arth mein Deepak kee lo ka varnnan hai arthat lo to hai parantu vaayu kee gati na hone ke karann hil-dul nahin rahee. Isee tarah jub yogi kee Samadhi lagtee hai to uska chitta bhi chanchal nahi rehta.