Ashok: (1)swami ji namastay main yaha janna chahata hoon ki satyaarth prakash ke 7th chapter me “is sansar me jo bhi jagat hain” ye vaakya jo likha hain to aap aasan sabdo me bataiye ki sansar kise kahate hain or jagat kise?
(2)aum teen sabdo se milkar bana hain “a” se aakar “u” se ukaar “m” se makaar lakin ye jo chinha hain isme teeno sabd kaise padhe jayenge?
Swami Ram Swarup: Namasteji. Yajurved mantra 40/1 main kaha “Ishavasyamidam sarvam yatkinch jagatyam jagat.” Is mantra mein do baar jagat shabda aaya hai dono jagat mein Ishwar vyapt hai. Ek jagat – jad jagat hai jo sooraj, sitaare, chand , mitti, patthar, hawa , pani, hamare shareer aadi hain. Yeh prakriti se bana jad jagat hai. Doosra chetan jagat hai, ismein hum sab pranniyon ki arthat saans lene wale manushya, pashu-pakshi, keet, patang aadi kee jeevatmayein hain. Atah jad aur chetan yeh do jagat hain. Jagat ko hee sansar bhi kehte hain.

Jo apne chinha lagaya hai woh clear nahin hai, Hindi/Sanskrit language mein isey bhejein.

Varun: Please send me Brahamcharya Dukh Nivarak Divya Mani.
Swami Ram Swarup: Books are being sent to you, please.

Sagar: Upnishad.
Swami Ram Swarup: To obtain Upnishad, please contact :-
M/S Vijay Kumar Hassanand, Nai Sadak, Delhi-110006.
The website of M/S Vijay Kumar Hassanand is –
www.vedicbooks.com

Anonymous: Lobh pap ka mulam hai kaise in sanskrit?
Swami Ram Swarup: Mahabharat granth mein kaha hai ki lobh se bada koi paap nahin. Rajya ke lobh mein hee Dhritrashtra ne Mahabharat jaisa vishal yudh kara diye jismein hazaron yodha mrityu ko prapt ho gaye the. Yudh na honey ke liye Sri Krishna Maharaj nein Pandavon ke liye Duryodhan se kewal paanch gaavon maange the lekin Duryodhan nein uttar diya tha:-

‘ Soochyagram naiv dasyami vina yuddhein Keshav’

Arthat – Hey! Krishna main yudh kiye bina Pandavon ko sui kee nok ke barabar bhee zameen nahin doonga.

Isliye Mahabharat ke Shantiparv mein kaha-
“Eko Lobho mahagraholobhat paapam pravartate”

Arthat ek lobh hee mahagrah hai, lobh se paap upajate hain.