Arya Vinod: पूज्य गुरुजी…. कोटिश : चरण वंदन👏🏻👏🏻👏🏻👏🏻👏🏻

गुरुजी कभी हवन करते हुए अचानक कोई छोटा मोटा जीव जलती हुई समिधाओ के बीच मे से बाहर निकलता है, कभी कभी उसे हम बचा नही पाते,तो क्या जीव हत्या का पाप हमे लगता है, इस प्रकार की परिस्थिति से , पाप से हम कैसे बचे❓

Swami Ram Swarup: Vinod Beta yaj mein mishthan ki aahuti bhi daali jati hai. Mishthan ke mantra ka arth aur bhav yeh hai ki Hey Ishwar mujhse jaane anjaane mein yadi koi paap ho jaye to usey kshama karna isliye beta aise paap bhi kshama ho jate hain. Parivar ko ashirwad.

Anonymous: Namaste swamiji. Mera question h ki god kya, aur kon h? Raam krishna, shiv kya ye sb god h? Nhi h to log inki pooja kyu krte h? Bolte h k agr bhagwan ki pooja nhi kroge to paap lgega.. to fir to saari duniya hi paapi hui.. kyunki unko yhi nhi pta k god kon h aur kiski pooja krni h.. sb dhrmo me alg alg god h… Bt mujhe ni lgta k god alg h… Agr vo sb alg h to fir unko b to kisi ne bnaya hoga… Jisne unko bnaya hoga to fir god hua..

Swami Ram Swarup:  Namaste. Yeh baat samjhane yogya hai ki Ishwar ki pooja karne se pahle us Ishwar ko jaano. Yadi koi Ishwar ko nahi janta to Ishwar ki pooja bekar hai. Ishwar ko janne ke liye vedon ko janna jaruri hai. Kyunki Ishwar ke sache sache gun, aadi ka varnan kewal ved mein hai. Jo ved mein kahi Ishwar ki pooja nahi karte unpar Ishwar ki koi kripa nahi hoti aisa vedon mein kaha hai, weh dukhi rahte hain (yajurved mantra 2/23 also refers). In short, vedon mein Ishwar ko sarvavyapak, sarvashaktiman, kayarahit, aur samaj ko vedon ka gyan denewala kaha hai. Aur vedon mein yeh bhi spasht kaha hai ki Ishwar kewal ek hai aur is Ishwar ke saman dusra koi bhi Ishwar na tha, na hai aur na hoga lekin poori jankari ke liye aapko ved ke gyata vidwan ke sang rahkar ved sunne chahiye.